Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Khawab dekhta hoon ke helicopter say jis Ko khud fly kar raha hoon lay k mulk Oman Jata hoon aur wahan aik masjid ma namaz k liya Jata hoon, namaz parh raha hota hoon ke mera dosara sathi helicopter ma mera intazaar karnay ke bad chala Jata hai. Aur ma Oman ma he reh Jata hoon phir ma edar udar gomta hoon aur Pakistani loogon say pochta hoon k mera helicopter nekal gaya ha aur ma esi mulk ma reh jaon. Tu woh kehtay hain ke hum sab ka bhi koye kam khas nai yahan rozi etni zayada nai. Mufti Saheb me kabi Oman nai gaya.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine subah khwab dekha ki do safed parinde kabooter ki tarah ke uper se udkar jameen par aakar baid gaye do old age ke log unhe pakar kar le gaye aur main maidan me dor raha hoon.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere teen ladkiyan hain air teen abortion ho chuke hain in tee no abortions ka reason ye thakkeep in mein koi name koi kharabi hoti air unhe aboard Karen ko Kaha jatha last abortion hue ek sail ho gaya hair a hi take Hamal nahi hair lek in aaj Maine apne khwaab mein dekha keep mere chaathi se doodh behraha hai is ka kya matlab hair. Please mujhe answer dijiye shukriya.

Bacha har baat se darta he

Q: Mera beta 8 sala ka hai lekin har batha se daratha hai kabi kabi hakilakar bathi karetha hai pade nema dil nahi lagatha bachu ke saath khilana bi nahi aatha aur ukg pade tha hai akila bacha hai wazifa aur dusari bacha ke liya wazifa de please appki bohat meherbani.

Zaid naam rakhna

Q: Mujhay apne bete kay name se related sawal karna hay abi hum us ko zaryab kay name se pukarte hain but wo bemar rehta hay aur logon ne mashwara diya hay kay is ka name change kar dain to ye thek ho jae ga. Hum ne char name choose kiye hain jo ye hain.

1. Zaryab

2. Zaid

3. Zohaib

4. Zammad

Aap rehnumai farma dain kay us ko konsa name suit kare ga.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ne khwaab dekha ke ek shakhs sufaid kapron mai tahajjud owr fajar ke namaz parh rha he owr khwab m mje mehsoos hua k uske namaz qibla simt nae bl k shaid mashriq ke trf h. Us ka chehra bht roshan h jese owr namaz wali jga p roshni h owr mai pas khari dekh rahi hn. Namaz kisi road pp parh rha h wo shakhs jis ke dono trf jharian hn. Asal mai mai n ye khwabjis waqt dekha wo b fajar ke azaan s ain pehlay ka tha owr us shakhs ko mai janti hn. Mai n bht suayen ke hn Allah Taala uske hidayat ke lye q k filwaqt wo sahi logo k drmean nae h shaid r bht c burayion m ghira hua h. Mai ne zindagi m is se barh k koe dua nae mangi k Allah usko hidayat day is khwab m kya ishara h?