Urdu Questions

Ad dekhne ki kamaai

Q: Aik job hai jis ma hamien computer par ad dekhny hoty hain mukhtalif kisam ky... usko dekhny ky paisy milty hain... jisy hum log online work bhi kehty hain... isma referal system hota hai matlb ky aik admi 2 logo ko add kary ga to uska referal ziada ho jay ga aur uski income bhi ziada ho jay gi... matlb jitny log wo ad kary un logo ki salary ka bhi hisaa mily ga... aisi job jaiz hai?

Aslam naam rakhna

Q: Mjhe aik acha Islami naam suggest krdain. meray betay k nam Abd Rafay h uskay chotay bhai k naam rkhna h par m chahte hn naam aesa h jo Abd Rafay se dosti mhbt krnay wala ho ta k taa umar bhaion m mhbt rhay q k naam k asar bht hota h.

Sufed discharge

Q: Mujhe basa auqaat aisa discharge nikalta hai jise ghaur se dekhne par hi maloom hota hai ke ye bahut halka sa peela hai, yaane mai agar sarsari dekhloo aur zyaada ghaur o fikr na karoo to wo safed ya transparent hi dikhta hai.

1. To mujhe is discharge ko safed shumar karna chahie ya peela?

2. Mujhe bleeding bhi hoti hai to phir chunke ye discharge bhi hota hai to phir haiz shumar kise karna chahie?

Umrah me haidh aana

Q: Mein umra kernay gayi mery haiz (menses) ka den 7 ya 8 houtay hein lakin is bar mujay kuch khrabi ki waja sa zeada din date ayi mein na barwein (12) den gusul ker ka namaz perh li mein na Wednesday ko gusul kia or Monday ko umra kia es doran mujay dischaj ka sath hulka sa blood kisi wequt ho jata tha

1. Mujay pochna ha ka es halut mein mera umra sahi ha muj per koi kafarah to nahi

2. Aur jo mein na Musjid Nabi aur Haram Makkah mein namaz aur naful adda ki sahi ha muj per koi gunah to nahi

Namaazi ke saamne guzarna

Q: Agar koi masjid mai namaz padh raha hai, kya eik saff chod kar ham uske aagai se nikal sakte hai, aur agar nahi nikal sakte to eik masla aata hai ki agar farz namaz chal rahi hai to koi sunnat padh raha hai to mjhe koi raasta nhi saff mai janai ko siwaye uske aagai se nikalne ke, to kya karain?