Urdu Questions

Doosri biwi divorce chaahiye taake pehle biwi ko takleef na ho

Q: Mein ek divorced woman mera ek 13 years ka beta hai.4 saal phele meiny ek achy or naik man say nikha kiya hai..wo bhi phele say married hai un k 4 bachy hain.unhony apny ghar mein nhe batya na hi mery ghar mein ye baat maloom hai kisi ko...ab 4 saal bad ye baat un ki pheli wife ko maloom ho gye hai.or us n bht zayda hangama khra kr deya hai..un k bacho ko bhi maloom ho gya hai..un ki pheli biwi ki zehni halat theek nhe ye baat sun k or wo bht sadmay m agye hain..or ek hi baat kr rehi hain k mujhy divorce de dey..mujhy ye sab dekh k bht takleef ho rehi hai k meri waja say koi takleef mein hai kisi ki dil azari ho rehi hai meri zaat say.mainy apny husband say kha please ap mujhy divorce de dey.taky un ki life mein sukon ajye.. nikha say phele meiny apny sab haqooq maaf kr deye thy..na wo mujhy koi karcha dety hain na sath rehty hain..ab to wo pakistan mein bhi nhe rehty..aaty hain to humri mulaqt ho jati hai..wo apni family k sath turkey mein settle ho gye hain. beshak Talaq ek acha amal nhe..lakin kisi ki dil azari krna bhi to acha amal nhe..mein kya kro meiny un say divorce mangi hai..wo nhe dena chahty..lakin wo or un ki family bht takleef mein hain..or mein nhe chahti meri zaat say koi takleef mily..please mujhy koi soultion bata de.

School me kisi ko apne jagah me rakhna?

Q: Men aik govt.teacher hun. Mery kuch ghar k masail hn jinki wja sy men leave without pay lena chah rahi hun lekin meri head teacher nae manti wo kehti hn k teacher attendence percentage km hojati he (wo theek kehti hn q k govt k rules bht skht hn). Phir meny unhen kaha k men resign krdeti hun wo ye bhi nae manti. Unhon ny mjhy mashwara dia he k men unko apni jga koe or private teacher rkh dun jo meri jga mery duty smbhaly or men kisi din schoool aon kisi din na aon or us teacher ko apni pay sy kuch hissa day dun 3 months guzar lun takeh meri job bach jaye.ab poochna ye he k kia ye jaiz hoga q k zahir he govt job men iski koe permission nae.or 2nd ye bat meny govt sy chupani he.kia ye jaiz hoga or meri pay halal hogi in 3 months ki?????

Accountant sood ki entry karna

Q: Accounting ki job krna kesa hai jisme sood ki entry krni prti hai? Me electronics company ma kam karta ho. Ye company installment pr cheezien deti hain aur installment late hony par jurmana bhi lete hain lekin ye jurmana company khud nae rkhti recovery waly rkhty hain. Mera kam installment jmaa karna aur dusra kam krna hota hai. Agr kisi ki installment late ho jay to jurmana ki entry bhi krni prti hai koi jurmana deta hai koi nae deta lekin jb cheez leni hoti hai to agrement pr sign krny prty hain ky agr installment late hoi to jurmana dena pary ga. Meri job ky hawaly sy kya hukam hai?