Urdu Questions

Meeraath

Q: Ek ghr meray nana k nam ha abi tak or unki death k bad abi tak takseem nahi hua. Nana k 3 betay aur 4 betiyan thien. Jin me sy ek beta or beti fot ho gi ha. Betay ki koi olad nh thi, aur beti ki 3 betain or 2 betay hain. To jis beti ki death hogi ha usy nana k ghr sy hisa milay ga ya nahi? aur agar milay ga to uski agy sy kia takseem hogi?

Meeraath

Q: Warasat ka poochna ha property ha to orat ka kitna hissa hoga misal day or btayen or aik sawal jo makan k hissay taqseem hony hain us pr gas or bijli k bill thy wo ada kr k us k bad hissa lagaya jaraha ha to kia ye sahi baat ha?

Video call pe nikaah karna

Q: Mera masla yeh he ki meri bwhan ne mere ghar walo ki bina mrzi se nikaah kiya he. Or meri behan India me thi or ladka Pakistan me tha ladke ke pas qazi wakil or gawa sab ladke ke pass hi the yah ladki akeli thi ladki ka wali bhi whi ladke ke pass bna tha or video call pe nikha hua tha kya ye nikaah mukammal he kya ham ab uski dusri shadi kr sakte he?