Roze ki haalat me musht zani ke bad khaana khaana
Q: Agar koi nojawaan larka ramzaan ke roze ki haalat me musht zani kiya ho, aur samjha ke mera roza ab toot gaya he aur khana khaliya ab wo kaffaara ke saath (60) din roza rakhni he?
Q: Agar koi nojawaan larka ramzaan ke roze ki haalat me musht zani kiya ho, aur samjha ke mera roza ab toot gaya he aur khana khaliya ab wo kaffaara ke saath (60) din roza rakhni he?
Q: Jis ki gheebat ki ho kia use mafi mangna zaruri hai ya us insan se mafi mange bagher gheebat ka gunah maaf hojata hai?
Q: Kya jise hadse akbar lahak ho jaye ho Quran ke alawa dini kitabe wagaira chhu or padh sakta hai jaise hadees, tafseer, etc.?
Q: Fitny ya larai sy bachny k lye jhoot bola ja sakta hy? Mai ny apni beti ka school leaving certificate lainy k lye jhoot bola k hum city shift kr rahy hai. Agar aisa na bolty to school waly masla krty. Kya ye jaiz hy?
Q: Mara sawal ya ha k meri beti Sapara Perti ha online tu ajj wo school sa wapis ayyi tu ma ny usay kafi dafa parnay ky liya kaha tu uss ny nahi para phir jb sham huiyi tu ma ny kaha (k ma boonk boonk ky thak gayi hon or ab tu boonknay ka time nahi ha) ma tb sa bari prashan hon maray dil mein khayal aa raha ha k Naouzbillah ma ny Saparay ko tu nahi keh diya aksar mujy aisa lagta k main baat kerti hon tu uss ky baad mujy khayal atta ha k ma ny ghalt kh diya ha mara eman o nikah mein koi masla tu nahi ho gaya?
Q: Jo masjid jamat se namaz padhne ke jo log or imam dono sar hath rakh kar astagfar padhte kya a kahi sabit yani hath rakhna sabit hai?
Q: Phlay main us insan se naraz thi bht baat b nai karna chahti thi but aapi se baat kartay huay main ne kasam utha li wo b Allah Paak ki k ab unse baat nai krungi. Main tens thi bht kaifiyat ka nai pata meri but main bht zada tens thi. Mjhe batain kia wo kasam jaiz hai agar jaiz hai to kia kafara hoga?
Q: Aaj sy 20 saal pehly sy jub hum kafi chotay thy us waqt sy meray abba or taya aik he makan main rehty thy laikin us waqt sy he meri tai or taya g meri amma or abba ko ghar sy nikalny ka kehty (jabky ghar dono k naam per hai) or is baat per galam galoch krty jisko hmesha sy meray abba ammi bardasht krty aay.. meray taya faut huy 12 saal ho gy or unky baad tai ny yeh kaam jari rkha hua tha kuch arsa pehly mery samny meri tai amman ny mery abba or amman ko bht galam galoch ki main bht dare smjhata rha laikin wo baaz na aai or aakhir main mujhy apni parents ki izzat ki toheen ki waja sy gussa aya jiski waja sy mainy bhi unko galam galoch krdi, ab is soorat e haal main sub mujhy bura kehty hain jubky hum aik arsay sy bardasht krty aay hain or aakhri dafa bhi bht minnat smajat krny k bawajood sabar jawab dy gy to meray sy yeh amal sarzad hua.. is soorat main mery liy kya hukam hai?
Q: Mene ladayi k doran shohar se kaha k men chali jaungi tu shohar ne uspr kaha k han jao chali jao... Aisa do bar kaha... Mere shohar isse pehle b istrah bol chuke hen isse khuda na khasta talak tu nhn hoti? Mere shohar se agay se pocho tu kuch b jwb nhn dete k unki kya niyat the... Vo bht zada mutmaen nazar atay hen jese koi bat hi nhn ki unhu ne... Mere shohar ko is bat ka pora yakeen ha k mne kahin nhn jana tu mjhe jo lgta ha vo ye k vo srf challenge k tor pr is bat pr okay krdete hen k haan tum ye kaam kr k dikhao..... Or isse zada kuch b nhn.... Agr shohar in alfaz ko casual leta ho tu tu isme koi galat bat tu nhn na?
Q: Exam (paper) ma naqal karna gunah ha? Gunah ha to kabira ya sagira ha or is ka bara me janna ka liya kisi book ka naam bhi bataye.