Urdu Questions

Hadith

Q: Kia ye hadees sahi hai? Hazrat Muhammad salalaho alaihi walihi wasalam ne farmaya: Jo shakhs ghar ke kaamon mai apni biwi ki madad kary ghar ka kaam kary to Allah Ta'ala shohar ko 1 saal ki ibadat ka sawab deta hai. Bahawala: Baharij 13 page 133 wajamalakhbaris page 102

Sunnat-e-muakkadah aur Sunnat-e-ghair muakkadah me farq

Q: Masla ye he ke sunnat-e-muakkadah owr sunnat-e-ghair muakkadah me koi faraq he ya nahi? Kuch saathi kehte he ke sunnat-e-muakkadah yani zuhr ki chaar sunnat me do rakat ke darmiyaan jab qa'da karte he to attahiyyaat sirf parhenge aur sunnat-e-ghair muakkadah yani esha ya asr ki chaar sunnat, us me do rakaat ke darmiyaan me attahiyyaat ke saat durood shareef bhi parhenge. Is ki wazaahat karde. Agar koi aur farq bhi ho to bata dijiey.

Khwaab

Q: Mjy btain meri wife ne khwab main daikh k aik mohaly dar ne aik lfafa dia us main kafn ha meri wife us se pochti ha k is main kia to kafn hota to wo khta ye kafn tmary liay ha to plz sir is ka jwb de den

Dil ko saaf karne ke liye taubah kaafi he

Q:

1. Aik bayan me mene suna h Allah jiska dil saaf hota hai gunahon ke zang se uspe nigae remat farmata h apni to jis shaks ne gunahon se tauba karli hai n uska namae amal gunaho se saaf hogaya to kia uska dil bi gunahon ke zang se saaf hojata hai ya uskelye usko zang dor karne kelye dosra tariqa apnana hoga?

2. Allah ki nazar me ane kelye dil gunaho ke zang se saaf karna zaroori hai?