Urdu Questions

Be asal cheez

Q: Mera sawaal yeh hai ke yeh jo rajab ka mahina chal raha hai is mahina mai suna hai ki jo apna marhoom ka Liya tabarakallazi pad ker apna marhoom ko sawab bheja to unhe bahut sawab pahuchta hai. Mai apna maa ka liya padna chahte hun, per mujhe yeh nahi pta ki tabarakallazi ko padne ka kya tareeka hai matlab kaise pade or is mahina mai kab padi jaye or kis tareeka se tabarakallazi pad ker bakshe. Please mujhe ho sake to ek hi din mai reply ker dijiya kyunki ziyada din nahi reh gaye ha na or chand ki 25 tareek ko mare maa ki saal ki niyaz bhi hai plzz unka liya dua e magfirat kijiyaga or tabarakallazi ka saath alef lam Meem ki surat bhi padni hogi kya or kis tareeka sa pade plzz hume jaldi reply ker dijiyaga or kya tabarakallazi sirf rajab ka mahina mai hi pad ker Baksh sakte hai ya daily bhi pad ker sawab pahuchta sakte hai or kitni baar yeh pad sakte hai aisa to zaruri nahi hai na ki 41 baar hi pada jaye agr ek ya do baar pad ker Baksh de to koi baat to Nahi hogi na plzz detail mai explain kijiyaga.

Kitaabo ke upar zakaat

Q: Aapke pass kitaben hain jinke maliat ayk lakh 80 hazar ha jabke 52.30 tola chandi ki kimat 2 lakh rupe hai apke pass in kitabon ke illwa koi owr jaaidaad nahi. Na kisi ko karza dena na kisi sa lena to kia ap zakat dy skte hain agr han to kitna?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhy 2 khawabo ki tabeer pta krni hy jo meri sis in law ny dekhy jin ki shadi nhe hoe.

1. Aik raat khawab dekha k wo aisi jagah hain or kuch log lrae kr rahy hain phr dekhti hain k buht khobsurat jagah hy or aik 3 saal ka bacha aa k kehta hy mjhy ice cream ly dein. Wo us k sath chalti hain or rasty main jo b milta hy buht adab sy ehtram sy salam krta hy wo sochti hain k ye sub mery husband ki wajah sy hy.

2. Usi week main ye dekha k un k han beta hua hy jo buht khobsorat hy or inki cousion aati hy to usay kehti hain k main duaain kr kr k ye apny abbu py jaey. czn hans k kehti hy q? To ye jawb deti hain k wo buht khobsurat hy iss lye.

Witr ki sunnat qiraat

Q: Mere kuch sawaalaat he jin ka mujhe islami nuqta-e-nazar se hukam bataye ga baraaye meherbaani.

1. Agar me sirf Farz namaaz parhta hu aur sunnat-e-muakkada nahi parhta to kya me gunehgaar ho jata hu?

2. Esha ki namaaz me witar ki rakaat may kon si surah parhna chahiye?

3. Kya me beth kar namaz parh sakta hu apahaj na hune ki soorat me? Thori kamzori me beth kar namaaz parhna jaaiz he?