Urdu Questions

Awlaad neak suhabt me rehna

Q: Mera khwaab mere bete se related hai jo ki teen saal ka hai. Meri wife ne dekha ki humara beta samandar mein gir gaya hai aur kisi cheez mein fasa hua hai meri wife cheekh rahi hain. Ye khwab meri wife ne dekha fir after 10 days mere walid ne khqab dekha ki mera beta ek boat par baith kar samandar mein door nikal gaya hai mere walid ne use wapas bulaya to wo aa gaya magar kinare par pahunchne se pehle boat palat gayi aur wo pani mein gir gaya aur upar neche aane jane laga mere walid pani mein jakar use nikal laye aur thodi jaddo jahad ke baad mere bete ne aankh khol di aur wo bach gaya ye dono khwab subah ke waqt dekhe gaye hain. Please iski tabeer bata dein meherbani hogi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri shaadi ke liye istekhara kiya gaya hai jisme khwab me ye dekha gaya hai ke mene orange color ka dress pehna hai or me apni behen ke ghar me hu haste haste me apni hone wali sans ki godh me baithne ja rahi thi per unhone muje push kar diya or me gir gai gir kar bhi me hass rahi thi or haste haste hi uthi iske aage or kuch nazar nai aaya me janna chahti hu ke. Is khwab ki kya tabeer hai?

Hurmat-e-Musaaharah

Q: Takreban 33 sal pehle humare taya or abu ki 2 behno ke sath shadi hoi yani do behno 2 bhaio ki pochna ye ha ke humare taya ke meri nani ke sath najaiz taluqat thi kyu ke pehle ye kiraydar or malik makan thy nani log malik makan thy abu log kiraedar phir nana ne shadia kar de janty bojty or shadi ke bad bhi taya ek waqt tak milty rahea nani se. Khandaan ke bardo ko bhi elm tha per ye shadia hoi ab ma inki sharae haqeqat pochna chahti hu k ye nikah valid ha k nai ab taya k bhi 5 bachy ha or hum bhi 5 beHan bhai ha or dosra ab kia kea ja sakta ha? Taya log bohat hi bure haal ma ha bohat arsy se rehnumai farmae Meharbani hogi.

Mangni tootne ki wajah se pareshaani

Q: Mere mangni ayk saal rahi phir tot gae aur us larki nay apni bhabi kay bhai say foran shadi kar li. Mera problem yeah he ke mai us ko bhol nahi pa reha bulkay mai usko bholna nahi chata pershan rehta hoon us say abi be peyar kerta hooon koe galt keyaaal zain mai nahi ata bus yeah dua kerta hoon k Allah ji ager us per jado huva ha (uskay ghar waly kehtay haan) aur ager wo waha kush nahi ha to aaappp plz hum ko mila dain aaap yaqqeeen janeye namaz kay doran be ansoooo nikal atay haan meray bohet pershan hooon mai.

Peshaab ke qataraat har wat nikalna

Q: Me ayk mazoor hu. Muje peshaab ke qataraat hamesha tapak te rehte he. Mera sawaal ye he ke jab me istinjaa karne ke baad qatro ko paani se dhowta hun aur usse tissue se saaf karleta hun, lekin meri bimaari ki wajah se qatra hamesha nikalta rehta he aur istinja ke baad, usse paani se dhone ke baad bhi qatra fowran nikal aata he, to aap muje bataye ke me istinjaa karne ke baad unhe dhone ke baad keyse saaf karu?