Urdu Questions

Credit card par sood dena

Q: Me Qatar me kaam karta hon. Yahan me aik bank ka credit card use kar raha hon. Me jab bi use karon tu credit card k paise me time de pay karta hon interest lagne se pehle. Ab bank muje offer kr rahi hai k credit me jitna limit hai (19800 riyals) wo hum apko cash dengay aur aap wo installments pe aik saal me bank ko pay karengay par sath me 0.5% interest b hai wo b pay karonga. Tu aya agar me bank se paise lon aur phir saal me installments pe de don interest k sath tu isme gunah hoga sood wala ya nahi?

kya hum aisa bol sakte hain ki Nabi (sallallahu alaihi wasallam) Musalman hain?

Q: Mera man main ye sawal araha hain ki kya hum aisa bol sakte hain ki Nabi (sallallahu alaihi wasallam) Musalman hain?

Aap se gujarish hain ki iss sawal ka jawab dedi Jiye.

Mujhe malum hain ki Nabi (sallallahu alaihi wasallam) toh sare Musalmano ke Nabi hain. Hum unke bataye huwe Deen pe chalte hain toh hum Musalman keh late hain.

Talaaq ke bad bachon kis ke paas rahe ga?

Q: Chand masaail aap se puchna he, lekin is se pehle pura manzar pesh karta hun.

Shohar ne biwi ko teen talaaq diya. Un ki shaadi barah saal rahi. Abhi chaar bache he.

Ek bacha ki umar 10 saal
Dusra 8 saal
Tisra 6 saal
Choti (bheti) 3 saal.

Hamara sawal yeh he ke:

1. Bachon rakhne ka kis ka haq he?

2. Agar sab bache maa ke paas rehna hi chahte hei, to ham kya kar sakte he?

3. Agar sab ya ek do bache, maa ke paas rahe, to bachon ka kharchah kis ki zimme dari he?

4. Ghar ka samaan jeyse ke kitchen ki chizen, kis ke liye he?

5. Baaz chisen kharidne keliye biwi ne apne peyse di. Woh kis ki he?