Neak lowgo ki suhbat ikhtiyaar karna
Q: Maine khwaab me dekha ke ek bohot bari nadi hai (river) jiska pani bohot saaf hai (white). Dheere dheere beh raha hai or uske bagal se jharna beh raha he jiska paani mai pee raha hu.
Q: Maine khwaab me dekha ke ek bohot bari nadi hai (river) jiska pani bohot saaf hai (white). Dheere dheere beh raha hai or uske bagal se jharna beh raha he jiska paani mai pee raha hu.
Q: Manay phly bhi sawal arsal ki tha ager aik aurt wehum our weswasy ki mareez ho. Quran sun rahi ho aur lufz (unfusihim) any pur kisy weswasy ki waja sa khud kalami ma keh da yay to quran ka lafz ha ya to kaha ja sukta ha alfaz serf etnay hi boly zehen ma. Allah ki zaat muraad ho. Wo lufz bhi na boly bus lufz sun ker serf etna keh day yay to quran ka lufz hah ya to kaha ja sakta he zuban se, ya hi lufz ada karay. Baki woh lufz aur allah ki zaat ka mutuliq weswsay ya khiyal zahen ma ho to is ka kia kufara ha? Kia is sa Imaan our nikh pur asur ho ga jab ka mera kufer ka khial na tha bus wesway ki waja sa keh dea shitan mujy allah ka bary ma buray weswsay dal rah tha ma na apni taruf ya sooch ker ya to quran ka lufz ha our acha lufz ha aur alfaz keh deayay mujy pata ha ya ba mani jumla ha lakin mujy iman our nikah ka bary ma wehum ho gaeya ha mujy kuch nufseaty mesla ha jo khial zehn ma a jata ha woh zehn sa nahi niklta please mujy is ka hul batany. Muj sa weswason ki waja sa ba many sa jumlay nikal jaty ha halanka mera koi muksud nahi hota pher mujy apny lman our nikha ki feker ho jaty ha. Please mujy batany asy halut ma man kia karon ma bary tention ma hon our dosra jumla ma bolnay to ya lagi thi khana kaba ki tarf monh ker ka nahi thokna caheyy lakin ma na do teen bar ya keh dea khana kaba ki taraf monh ker kay thokna chahy nahi yani nahi. Bad ma kha chahyey phly keh dea ma na gult jumla bol dea ha is ki waja sa ma itny den sa tention ma hon phir meney socha kay tention leney say behtar hai app say rahunamai hasil karoon. Please answer den.
Q: Humara ayk land hai. Hume sale karna hai. Bohot log pasand karte hai aur phir dusre dis unka kuch reply nahi ata. Teen years ho gaye hum wo land kharid kar abtak koi nahi kharida. Please aap mujhe koi aisi Quraani dua bataye jisse humara problem hal ho jaye.
Q: Khwaab me bichoo ko deikhna, usko maarnay ke liye jana but wo mujhy par ek pani sa phank ke bach jata hai. Paani sabz color ka hota hai. Jaise zehr. Owr wo meri pent par girta hai.
Q: Muje aksar ek khwab pichle kuch mahino se dikh raha hai ki main khwaab apne aap ko sandas (Baitulkhala) karte dekhta hun.
Q: mein abroad rehti hun. Meine khuwab dekha ke hum Pakistan gaye huwe hain aur wahan mere parents fout ho gaye hain (joh k hayaat hain). Phir jab hum apne parents k pas bethey ro rahe thay k toh dono achanak se uthey aur meri ammi ne kaha k hum rooh hain aap log darood shreef parho. Meine darood shreef aur kalma shahadat parha. Meine apne bhai se poocha k hamare parents ko hua kya tha joh woh dono ek sath hi fout huwe hain. Unho'n ne btaya k kisi ne unn dono pe kala jaadu kia tha jiski waja se unki death hogyi hai. Sir alhamdulillah mere parents theek hain. Aur namaz ke paaband hain. Sir please aap yeh btayein k iss khuwaab ki taabeer ka hogi. Shukriya.
Q: Me ne ayk khwaab dekha ha ke me ayk pul cross kar raha hu or wo pul itna choota ha ke us me se ayk time me ayk banda cross kar sakta nichy bhot bari khai ha us pul per ayk larki ja rhi ha jo sab ko keh rahi ha mujy nichy phenko me us ko nai phenkta lakin me is ko pichy se pakrta hu or us ko pul ki 1 trf dhka deta ha lakin wo 2sri simt gir jati ha wo pani hota ha wo us m cheekhain marti ha lakin kuch dair baad wo pani m easy ho jati ha sab mjy bolty hain nikalo per m nai nikalta or aytal kursi or darood pak parh ker phonkta hu to us m se koi brown color ki khofnak c cheez nikalti ha or oper chli jati ha jo bad m mery andar a jati ha or m jkraa jata hu or m phir aytal kursi prhny lag jata hu is doran meri ankh khul jati ha or fajr ka waqt hota ha jab se m ne ye khwab dekha ha m mently tor pe bhoot upset or paryshan hu bray karam mjy is ki tabeer bta dain.
Q: Kiya step son aurat ka liye mahram hai ya nahi?
Q: Meri bhabhi paanch month pregnant he. Un ka major scan huwa. Us mai pata chala bacha abnormal hai. Us ka sar bhi barda hai tangain choti hain hath pao ki unglian nahe hain doc ny kaha ke ye bacha agr delivr krty tu aik sal ya ua ay pehlay foth ho jaye ga. Phir bht takleef ho ge usy agr ap usy paida krty ho kiu ke wo grow nahe kry ga jitne dair b raha tu is sy bettwr k abortion krwa layn. Aap btayn in case mai hamain kya abortion kra layna cbaiyy?
Q: Mujhe khwaab ki tabeer batae. Mene khwab me mera cousin mar chuka hai or wo waqai me foat ho chuka hai. To khwaab me mene dekha hai uski biwi uski mayyat k agay bethi hai tayar ho ke bilkul tayar hai jse shadi me tayar hty hain. Ab btae plz.