Urdu Questions

Wasaawis owr shubuhaat

Q: Me na phly bhi sawal arsal ki tha ager aik aurt wehum our weswasay ki mareez ho quran sun rahi ho aur lufz (unfusihim) any par kisy weswasay ki waja sa khud kalami ma keh day yay to quran ka lafz ha yay to kah ja sukta ha alfaz serf etnay hi bolay zehen ma allah ki zat murad ho wo lufz bhi na bolay bus lufz son ker serf etna keh da ya to quran ka lufz kah ya to kah ja sukta ha zuban sa ya hi lufz ada kary baki wo lufz aur allah ki zat ka mutuliq weswsay ya khyal zahen ma ho to is ka kia kafara ha kia is sa iman our nikh pur aser ho ga jub ka mera kufer karna ka khial na tha bus wesway ki waja sa keh dea shitan mujy allah ka bary ma bury weswsay dal raha tha ma na apni taruf ya sooch ker ya to quran ka lufz ha our acha lufz ha alfaz keh deay mujy pata ha ya ba many jumla ha lakin mujy iman our nika ka bary ma wehum ho gaya ha mujy kuch nufseaty mesla hay jo khial zehn ma a jata ha wa zehn sa nahi niklta pleeeeeeez mujy is ka hal batain muj sa weswason ki waja sa ba mani sa jumaly nikul jaty ha halanka mera koi muksud nahi hota pher mujy apny lman our nikha ki feker ho jaty ha pleez mujy batain asy halat may main kia kron ma bary tention ma ho our dosra jumla ma bolnay to ya lagi thi khana kaba ki tarf monh ker ka nahi thokna nahi cahyeh lakin ma na do teen bar ya keh dea khana kaba ki trf monh ker kay thokna chahy nahi yani nahi bad ma kaha chahey phly keh dea ma na gult jumla bol dea ha is ki waja sa mujhey itny den sa tention ma hon phir meney socha kay tention leney say behtar hai app say rahunamai hasil karoon.

Tattoo ku nikaalna

Q: Maine recently apne baazu pay ek apne naam ka tatto banvaya joki mjhe pata thi ye haraam hai. Bas ye mera bachpana tha. Mai bohat pareshan hu tabsay kyun ki mjhe aisa nahi karna chahye tha mera dil sach mai toot gaya hai. Sun nay mai aya ki is douran gusal durust nahi hai aur namaaz bhi durust nahi hai. Mai bohat pareshan hu. Pleaseis ka hal bata do aur kya touba karne se Allah mia maaf karenge mai kabhi aisi galati nahi dohraunga.

IT team customer ku ujrat ke upar dena

Q: Mene apni IT team ek mere customer ko de di he, wo team uske liye kaam karti he aur unko salary bhi wo hi deta he lekin wo hame har mahine fix amount deta he kyun ki hamne usko puri team usko de di he to is tarah karna durust he? Secondly wo har mahine fix amount as administration fees deta he kyuki filhal uski team hamari office se kam karti he kya ye deal sahi he?

Behn ke sohar ke saath halaala karna

Q: Mera sawaal ye he ke maine meri biwi ko teen talaak ek saath di. Us waqt me islam me ziyada nahi samjta tha, phir galti ka ehsas hua ki ye galat ho gya. Ham dono ne waapas sath rehne ka faisla liya or hum ne bad eddat ke halala kia. Halala meri biwi ki sagi bahan ke sohar ke sath hua or halala ki saari sharte puri hui. Bad halala ke wapas talak ho gayi or bad iddat ke hum dono ne wapas nikah kar liya. Lekin ab kisi molana se pucha to bataya ke ap ka halala hua hi nahi. To ye halala hua ya nahi? Please sari details saaf saaf bataye.

Ajnabi mard ke saat taalluq rakhna

Q: Me ne aaj raat 3am ke kareeb khwaab dekha ki jaha hum teen saal pehlay rehtay the us hi elaakay me chal rahi ho apni fiance ke saat. Aise hi me dekh rahi ho ki log jama hovi hai padosi ke ghar me waha tent laga hai andar gaye to dekha meri maa roo rahi hai puchne par pata chalta hai ki mera baya Mar gaya hai sb roo rahai hai lakin wo waha nhi hai jaise hospital me hai me roo rahi ho buhat zyda itne me biya k bachpan k 2 dost aaye aur me puch rahi ho ki biya kaha hai wo keh rahAi hai ki us ki baazu toot gaye hai lakin mujay lagta hai ki jaise wo joot bolte hai aur me neend se jagh gaye.

Marhoom waalid owr daadi ku khwaab me dekhna

Q: Maine khwaab me dekha ke meri papa jinko guzre huye teen saal ho chuke hai ammi owr papa dono rorahe hai. Maine jab apne ammi se pucha ke papa qu rorahe hain tab unone bataya ke tumhari dadi jinko guzre huye bahout sal ho chuke hai chahti hai ke tumhara owr ek bhai ajaye jo ke mumkin nahi hai. Jaldi se tabeer bataye. Bahout ajeeb khwab thaa. Hamlowg paanch behne hai owr ek bhai. Walid ko guzre huye teen saal hochuke hain.