Urdu Questions

Kisi ku phone karne par talaaq ku muallaq karna

Q: Ma kisi tara bi in waswason sa nahi nikal pa raha hun. Actually muje jo cheez tang ker ri ha wo ye ha k ap na dakha ho ga k jab manay second time apnay words repeat kia k agar tum na baji ko call ki to mari taraf sa talaq ho gi ( please refer to my previous question), is jumlay ma main 'kal' ka word use kerna galti sa or ger iradi tor per bhul gya tha. muje boltay huay ni pata tha k manay kal ka word miss kia ha. ye sirf aik insani galti thi. mara maqsad qat,ai ye ni tha k ma zindagi bhar k liay apni wife ko mari baji sa bat kernay sa rok raha hun or asa kasay ho sakta ha. aik husband ko to proud hota ha agar us ki biwi husband k gar walo sa achay terms rakhti ha. manay ye words generally ni use kiay thay sirf us aik call k liay kahay thay. infact pehli bar to clear kal ka word bhi use kia tha. ma scenario bhi bata chuka hun ap ko k hamaray bich usi aik call pa argument ho raha tha or manay usi k lia shart lagai thi. Allah dilon k hal khub janta ha or amal ka daromidar niyyat pa ha. mari niyat sirf us call ki thi hamesha ki ni. ma ye bat Allah ko hazir nazir jan ker or oath la ker kehta hun. is surat ma maray case ki kia ruling ho gi? kia ma apnay biwi bachon k sath zindagi guzar sakta hun? mari wife na us din (19 august ko) call ni ki thi. lakin us k bad bat bhi hoti ha or ana jana b hota ha. mari biwi muje boht tasalli or dilasa dati ha k kuch ni hua parishan na hon lakin ma dar chuka hun. muje divorce phobia ho chuka ha. kia koi asi surat ha k ma apnay is haq sa dastbardar ho jaun q k muje hamesha ye dar lagta ha her waqt sochta hun k future ma mari zuban sa ye word khud ba khud nikal jaen gay. Me apna ghar kharab ni kerna chahta. Me apni biwi or betion sa be panah pyar kerta hun ma mar jaun ga mufti sahab plz muje is aziyat sa nikalen. Aap k jaldi reply ka intezar rahay ga. Jazaak Allah.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khawab main dekha ke meree cousin jis ki three moth pehly shadi hoiee hai uss k ghar beta Hota hai main uss k paas hotee hoo uss k bety ko main ne uhtaya howa Hota hai tu Wo kalma parny lagta hai yh baat main apnee cousin k husband ko batatee hoo tu Wo kehta hai k kisi ko b iss baat ka na batana q k bachy ko nazar lug jatee hai main chup hoo jatee hoo uss ka bacha kalma sirf mery samnay parta hai iss ki Kiya tanveer hai.

Ihraam nikalne ke lia sar ka baal machine se mundwaana

Q: Main ne umra ada kiya hai magar sar ka baal machine se mundwaye hain matlab blade istmal nei kiya. Mera first time umra tha. Umra ke baad sar pe blade marwana lazmi hai ya ya machine se bhi sarey baal kta saktey hain. Please tell me ab is ka hal kya hai kuch log kehtey hain ke blade lazmi marwana tha warna umra nei hota mujhe in sab bato ka pta nei tha ab is ka hal kya hai plz tell me.

Aayat-e-kareema

Q: Kisi maqsad or kisi musibaat dur hone key liye doya yunus 1 lakh 25 thousand hum kyasey parengey. Kitni days aur kitney men/women milkey parengey. Please jaldi bataye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri bewi kuch arse se aik khawab dakti ha wo kahti ha ke aksar ma dakti hu ke meri shahdi kisi aur larky ke saat hoti ha aur mari wife kahti ha k ma khawab ma bohut zayada roti hu. Please is ki tabeer bata dena.

Neak lowgo ki suhbat me rehna

Q: Mein ne khwaab mein dekha hai ke mein ne kisi buzurg ki dead body ko uthaya hua hai or aas pass or kafi log dafan hain lekin wo qabron mein ni hain balkeay aisay hi lete hue hain magar mere mind mein hai ke yeh qabrein hain. Buzurg muje kehte hain ke muje falan qabar ke sath dafan ker do or phir meri ankh khull gai. Waqt suba paanch baje ka tha khawab ka.

Khwaab me saamp dekhna

Q: Yeh khwaab mere shohar ne dekha hai waqt fazr unho ne dekha ke 2 bade anaconda saap hai or unsme se ek ko inhone maar Diya kyunki woh unki behen Ki ko Marne jaa raha tha.or dusra unki ammi k ghar me unhone maar Diya or use unke sir ne jala diya. Aap iski taabeer bataye.