Urdu Questions

Khwaab me bakra dekhna jis ki anthariyan us ki pait se bahar hain

Q: Khwaab daikha ke ayk bakra zameen par para hai or us ki anthariyan us ki pait se baahar hain lekin wo zinda hai or saans le raha hai. Phir main ne ayk door ke dost jis se kisi qareebi ke zariye jaan pehchan hui thi or koi rabta nahi hai us ke saath samandar par hu, wo samandar ke andar hai or main bahar hi ruka hu or samandar main dolphin machli or us k bacho ko daikh kar lutf andooz ho raha hu.

Shaadi se pehle ta'alluq rakhna

Q: Mera sawal ye ha mai kisi khatoon ko pasand krta hon wo b mjy pasand krtin han hum dono shadi krna chahty han lakin mere walida nhi maan rahin bcoz larki ka color thora sanwla ha istikhara b theek aya ha per wo khtin mainy nhi krna ye olaad ka haq nhi walidain ka haq ha zindagi mainy guzarni ha tumny nhi tum tu office may ho gy hm log ab chup k milty han yani us k ghr walon k samny magar mery ghr walon se chup k ye tarika ghair islami ha pr iska gunah kisko hoga hmary parents ko jo jan bojh k rukawat dal rhy or ghalat rasta apnany pr mjbor kr rhy hmny kch ghlt nhi kia srf aik dosry ko dor se dekha ha lakin dar lgta k kahin gunah na ho jay. Please is masly par roshni dalain or in halaat may agar mai ghar chor ke shadi kar lon tu kia wo jaiz hoga.

Badmaash ka ma'na

Q: Main ne galti ss apni cousin ku badmash larke ka word use kar dia jis par bht masla create ho gaya hai. Kindly ye bataeya ga kah is ka meaning ki hn q kah bht sa logon ki bht sa answers mila hen.

Shaadi me pareshaani

Q: Mera masla shaadi ko 5 se 6 saal hogaye aulaad nahi he. Uska shohar or sasuraal walay shuru se sahi nahi hai asal mai shadi ka istikhara sahi nahi tha phr bhi shadi kr di gayi ab surat-e-haal ye hy k baat baat pe bezati ki jati hh talaq ki dhamkiyan dewar tak izzat nhi krtay lekin me ne 5 saal se sabr kiya hua hy apne maikay walo tak ko nhi bolti meray shohar ki dusri shadi ka socha ja raha hy jab k mera ilaaj tak nhi krwaya jata aulaad k liye ek mahina ilaah hota hy phr saalo bhool jatay hy zameeni 0 pe zameenay li ja rhi hy lekin ilaaj k liye paisay nhi or ilaaj nahi karwatay mera sabr jawab de gaya hy dil bhi bezaar hogaya hy her cheez se plz mujhay koi raasta dikaye.