Urdu Questions

Tamaam ni'mato ka shukr owr qadardaani karna

Q: Main skool mn apni head mistress ky sath chal rahi hn kh aik admi ny office mn shikayat ki ha halan kh us ka kam ho gaya tha mn ny bhi kaha kh kam us ka ho gaya tha phir bhi shikayat lagai. Hum chal rahy hn ar rasty mn zameen pr double roti ky aik ya do tukry daikhy wh mn zameen sy is liyay uthay kiyun kh wh giry hoy thy. Agy gai ar bhi prhy hoy thy wh bhi utha liyay.

Mushtabah owr haraam cheezo se bachna

Q: Fajar se ada ghanta pehle khawab me dekha ke ek raja koi khaas hai or ek jaduger aurat hai usko wo moti sone ki moti ka haar deta hai phir wo moti ko nikaal ker alag alag kerti hai teen chaar jagaa or phir or wo aurat ki neyat kaar rehti hai phir kuch phuki sab per or ek hissa admi ko deti hai kuch kero bolti wo aad mi bolta hai mai 50 aad mi se keraao ga phir mai bache we moti uthaaleta ho aurat ke saamnese oe wo admi ko dene lagta ho mager wo aad mi ko letana Hai meko bolta hai iko samhaal ker rekho mai bolra ho meko nahi sanjhe ga rekhe fir sapna khuljata hai mera.

Bache ku coffee, sweets, cooldrink, waghairah se bachaana

Q: Mera beta chaar saal ka hai lekin wo itna rota hai, zid karta hai, marta hai apney bhaiyon ko. Ghusey ka boht tez hai, mei us k liye boht pareshan hoon. issi ghusey aur roney ki waja se us ne haklana bhi shuru kar dia hai. Jis ka wazeefa mei ne aap se lia tha. Wo mei parh rahi hoon, lekin is ka rona aur ghusa krna, zid krna din badin barh raha hai. Khudara mujeh koi wazeefa batayen jis se Allah Pak mere is bachey per aasaniyan karey aur is ka ghusa, zid, rona khatam ho jay. Allah pak aap ko jaza e khair ata farmaye. Ameen

Kkhaandaan ke bare aur tajraba kaar logo se mashwarah kare tijaarat ke baare me

Q: Hum hud say ziada pareshan hain. Please ek ehsaan karain hum per aap batain kay kiya meray bachon ko pakistan main job karna behtar hay ya pakistan main karobaar karna behtar hay ya sierra leone main job karna behtar hay ya sierra leone main karobaar karna behtar hay aur ya ghana main job karna behtar hain ya ghana main karobaar karna behtar hay. Aap ka ehsaan hoga aap ko duain dounga.

Khwaab me marhoom waalid ku dekhna

Q: Mary abu taqreban do hafty phly faut ho gay hn. Aj mn ny unhain khawab mn daikha. khwaab is tarah ha kh mn ar meri choti bhn hn hm dono abu ky kmry mn hn mn abu sy akaily milna cha tahi hn tu mn bahany sy bhn ko bahir bhaij daiti hn. Wo kmry ky baisan sy munh dho kr bahir chali jati ha mn apni ami sy chup kr abu sy mil rahi hn. Abu soy hoy hn. Mujhy abu khty hn kh meri chapl choti ha ar zara lgti ha kiyun kh abu ko sugar ha mary hath mn aik naram chapl ha ar aik abu ki zara hard wali boly is chapl ka sira yani pchla hisa zara bara hota tu phnany mn asani hoti ar chapl naram ho mera bhi dil kr raha ha us time kh abu ko natam wali chapl la kr don. Dosra abu khty hn kh pajama lmba ha wh chota chahiyay. Mn phn kr daikhti hn tu meri lmbai ky mutabiq ha ar mn yahi sochti hn kh abu ko chota chahiyay. Bs itna khawab ha jaldi reply krain plz.

Mayyit ku khwaab me dekhna

Q: Mainay khawab may dekha kay may kisi shaks to dafnanay qabristan gaya hon. Aik qabr say awaz arahi hai jaisay wo mujhay apnay pass bola kar batana chah raha hon kay dekho ye meri qabr hai. Qareeb gaya to pata laga aik meri pehchan walay ki qabr hai jisay inteqal huay 1-2 saal hogaye hai.

Khuda Ta'ala ke lia kisi cheeze ku chowrna

Q: Insan jab kisi ko Allah ke liye chor daita hai jo usay sab se ziada azeez hota hai to us ko badle ma kiya milta hai? Mai ne kisi ko Allah ke liye chora halank us ke baghair ma bht akeeli hun. Laikin sirf Allah ke liye chora ke wo hame jaaiz or halal rishte me daal de ga jald hi Insha Allah. Laikin ma khush nahi hun que? Agr koi Allah ke liye kuch chorta ha to kia usay khush nahi hona chahiye? Mujhe to samjh nahi ati ma Allah se ziada muhabbat karti hun ya us se q k agr Allah se muhabbat karti to us ke piche khafa na hoti or agr us se karti to us ko chorti na. Me kia karun? i mean mujhe sakoon que nahi mil raha?

Zina karne wale ki saza

Q: 1) Zina kaar ki kya saza hai? 2) Ek example ke sath ap sy sawal pochna hai do banday hain ek ne kabi zinna nae kiya and ek ny zinna kiya hai agar zinna karnay wala mafi mang lay tou kya wo oski haseeyat aam insan jaisa ho jaye ga. 3) Agar ek banda 3 4 larkiyon sy zinna karay ga tou oska kya hoga kyn k quran mn hai k zinna qarz hai ye maa behan beti bv sy he nikalta hai. 4) dwa qabool karwanay k leye koi achi sy quran ayat bataye jis sy dwa jaldi qabool ho. 5) dwa batain jis sy hamray mulk sy ye zinna ka gand khatam ho jaye.