Urdu Questions

Mayyit ku khwaab me dekhna

Q: Mainay khawab may dekha kay may kisi shaks to dafnanay qabristan gaya hon. Aik qabr say awaz arahi hai jaisay wo mujhay apnay pass bola kar batana chah raha hon kay dekho ye meri qabr hai. Qareeb gaya to pata laga aik meri pehchan walay ki qabr hai jisay inteqal huay 1-2 saal hogaye hai.

Khuda Ta'ala ke lia kisi cheeze ku chowrna

Q: Insan jab kisi ko Allah ke liye chor daita hai jo usay sab se ziada azeez hota hai to us ko badle ma kiya milta hai? Mai ne kisi ko Allah ke liye chora halank us ke baghair ma bht akeeli hun. Laikin sirf Allah ke liye chora ke wo hame jaaiz or halal rishte me daal de ga jald hi Insha Allah. Laikin ma khush nahi hun que? Agr koi Allah ke liye kuch chorta ha to kia usay khush nahi hona chahiye? Mujhe to samjh nahi ati ma Allah se ziada muhabbat karti hun ya us se q k agr Allah se muhabbat karti to us ke piche khafa na hoti or agr us se karti to us ko chorti na. Me kia karun? i mean mujhe sakoon que nahi mil raha?

Zina karne wale ki saza

Q: 1) Zina kaar ki kya saza hai? 2) Ek example ke sath ap sy sawal pochna hai do banday hain ek ne kabi zinna nae kiya and ek ny zinna kiya hai agar zinna karnay wala mafi mang lay tou kya wo oski haseeyat aam insan jaisa ho jaye ga. 3) Agar ek banda 3 4 larkiyon sy zinna karay ga tou oska kya hoga kyn k quran mn hai k zinna qarz hai ye maa behan beti bv sy he nikalta hai. 4) dwa qabool karwanay k leye koi achi sy quran ayat bataye jis sy dwa jaldi qabool ho. 5) dwa batain jis sy hamray mulk sy ye zinna ka gand khatam ho jaye.

Zina

Q: Kya agar ek mard ne zina nahi kiya tou kya oski biwi ne zina kiya ho aisa ho skta hai kya ?