Beghair wudhu namaaz parhna
Q: Mera sawaal ye he, me jo jaga kaam karta hu waha masjid bohot door he, aur mujhe mere kaam ki jaga pe wazu ke liye paani bhi nahi milta ke me namaaz parh sako. To kya me bina wuzu kiye huwe namaaz parh sakta hu?
Q: Mera sawaal ye he, me jo jaga kaam karta hu waha masjid bohot door he, aur mujhe mere kaam ki jaga pe wazu ke liye paani bhi nahi milta ke me namaaz parh sako. To kya me bina wuzu kiye huwe namaaz parh sakta hu?
Q: Qadha namaaz ki kitni rakaat parhni hoti he? Jaise zuhr ki namaaz ki qadha chaar rakat fardh hongi ya do rakaat?
Q: Ek Larki ka khwab hai. Khwaab dekha ke kisi anjan jagha pe bhot barish horhi hai phir roshni hui aur laga ke Allah paak ki awaaz hai, kehta hai ke bhot gunah horhe hai. Uske baad dekha ke paas ke ek baramde me gyi hu aur wha bhot se log quran padh rhe hai ek buzurg safed kapdo me padha rahe hai. Achanak paro ke huroof niche girne lgte hai aur wo buzurg ne kha ke sab apne hisse ke huroof utha le aur logo ko lekar usi barish wali jagha ki trf chaldiye to ek budhi aurat ne rok liya aur kha k tum mt jao aur wo quran ke 3 ayate padhane lgi to wo ayat mere samajh me agyi jo un buzurg ke padhate waqt nhi samajh ayi thi. Isi khwab me agla manzar khud ko ek kabristan me dekha aur ek bhot khubsurat aur insano ki jaisi boli bolne wali chidiya aur sath me koi aurat hai. Ek kabr pe kuch rakha hai jo us aurat ne mujhse kha ke ise uthao. Maine uthane se inkar kardiya phir ek khaufnak kila dekha jha koi dra rha hai. Sare khwab ek hi raat me dekhe hai.
Q: Kya uski namaaz tahajjud me shumaar hoti he jiski pehli rakat subah saadik se pehle, dowsri rakat subah saadik ke bad huwi ho. Yaani sirf 1,2 minute ka faraq he.
Q: Me ek gunaah gaar hooo jis ne saari umer gusal nahi kiya me hand practice itni kerta hooo k din me 6 ya 7 martaba ab ye ek beemari ban chuki ha ap he mere liye aakhri raah ho meharbani ker k batae k me gusal kese karooo jis se saaare pichhle gussal ka qarz bhi jae aur paak hojae mera jism muje niyat aati ha her hisse pe pani dalna hota ha gusal me matlab tareeka aata ha lakin muje pori zindagi ki napakaaeee ko khatm kese kerna ha wo batae me hand practice ker k nahata hooo lakin gussal nahi kerta aur pora din bhi kabhi labhaar nahi nahta. Please muje pe Khuda ke waste batae tareka me ap k jawab ka muntazir hoo.
Q: Mera chaar saal ka beta hai jis ne achanak hi baat krtey huay haklana shuru kr dia hai.pehley bilkul sahi baat krta tha lekin ab boht ziada hakalahat k saath baat krta hai. Doctors ko b dikhaya hai to sub results normal hain. Plz aap mujeh koi wazeefa bata den jis se us ki haklahat khatam ho jay. Mei boht pareshaan hoon. Allah Pak aap ko jaza e khair Atta farmaye. Ameen
Q: Agar kisi insaan ka inteqal ho chuka ho, aur khwab me usi insaan ka inteqal baar baar dekhna aese khwab ka kya matlab?
Q: Mera sawal ye hai ke Maine khawb mai apney mahroom cozn brother ko dekha usne bola k tmko nai Ana bt Mai waha c baagh gaye. Iski kya tabeer hai?
Q: Mufti saheb mene kuch dinon pehle ek khuwab dekha ke mein apne ghar ke third floor pr jhooley jhool rhi thi jo floor hamesha khali para rehta he. Meri kam wali uss hi floor pr safai kr rhi thi ke itne mein mujhy gallery se ek ajeeb sa admi nazar ata he. Woh itna lamba hota he ke uss ke zameen pr khare hone ke bawajood uss ka munh third floor pr nazar arha hota he. Mein yeh dekh kr dar jati hun aur apni kam wali se kehti hun ke woh isey mare. Woh jharoo se usey marti he pr voh kuch dur jane ke baad phr qareeb ajata he aur gallery se ghar ke andar jhankne ki koshish krta he. Mein neche wale floor pr bhaag jati hun aur dekhti hun ke vahan boht bari bari chipkaliyan ghoom rhi hen. Mein apni kam wali ko awaz laga kr kehti hun ke voh chipkaliyon ko mare. Voh unhe marne ki boht koshish krti he pr voh ek bhi nhi mar pati. Mein apne ground floor ki taraf bhagti hun toh mujhe uss admi ki tangein nazar ati hen. Mein apne father ko boht dare hue andaz mein kehti hun ke akar dekhein uss admi ko pr voh iss sab ko mazak mein ura rahe hote hen. Mein unhe dikhati hun uss admi ki tangein pr unhe tou kuch nazar hi nhe ata ulta voh mera aur mazak urate hen. Mein unhe apne samne sab dekhati hun pr unhe kuch nazar hi nhe ata. Mufti sahab iss khuwab ka kia matlab hua?
Q: Main akshar ye khawab dekhta hu ki main safar karne ja ra hu aur meri train chut ja ri hai ya main train me hu lekin wo train galat jagah ja ri h matlab meri manzil ki or nai ya main platform me utra hu aur train chut gayi hai owr kafi pareshan ho jata hu main. Iska kya matlab hua please batayie.