Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Many ramzan mein khuwab dekha hai fajar ke wakt meri aik hamsai dost jo k ab duniya mein nehi rehi muje khuwab mein aa k bol rehi hai k tum 25 september yad rkhna many pucha q kya hua is date py to 2,3 Bar yehi bola k tum yad rakhna aur khuwab me ja k call b ki aur phir aisy hi bola many pucha tum logo ko ijazat ha wahan ki bat idr btane ki to boli nehi. Wo 27 saal ki age me March me foat hui hai aur bachay ki maa ban'ny wali thi. Achanak uski death ho gai. Aap please bataye tabeer aur wo aksar khuwab me ati ha.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mery dost ki amma ji jo ke Qur'an ki hafizaa hain unhoo ny meri shadi ke leye Istakhara keya tha 3rd day ko unhy khwab aya. Khwaab (ek lerka hai kafi derr se andhery main behta hai fir subhoo namoodar hoti hai orr woo ek tarrf chal perta hai thori derr chalta hai fir samunder ajta hai wahn ek kashtii hoti hai orr woo uss mn behtt jata hai orr door nikal jata hai) main is khwab ki tabeer janna chahta hon aayaa ke yahn rishta kerna thek hai yaan mujy koi or rishta dhondna chaye?

Talaaq ke baare me sawaal

Q: Meri shaadi ko 7 saal ho Gaya hain. Hamari kafi laraiyan hoiyi arguments bhi howay. Aik dafa mary husband nay mujy kaha tha ke agar tum na ya kam Kiya Tu ab aik Tu mujy wo kam nahi yaad or dosra ya b confrom nahi ha k unnu ny ya kaha tha k talaq ho gi ya talaq ha pair aik dafa bola k apni sister k samnay k tum b gawa ho ma issay talaq daita hon Tu unn ki bahan na hath rakh liya ya kafi time pahlay ki baat ha laraiyan hoti rahi aik dafa poucha chaiya doon naam nahi liya kisi cheese ka ma na bolo mujy nahi chaiya Mara dil buht upset ha unn sa baat ki Tu wo bolay Aisa ma na tu kabi ya lafz nahi bola Han ma na tumhein mutnabah kernay ka liya zaror bola kk Karon ga per na ma na kabi kaha ha na hi meri koi neeyat ha un ki sister sa b poucha tu khnay lagi maray samnay ya baat hoiyi thi k Ammi Abu aye in gy Tu faisala kerein ya sari batein 7saal mein hoiyi kuch years ki batein hain ju ab mujy bar bar andher sa pinch ker rahi hain maray husband khtay k tum akaili Muslim nahi hon ma na kabi Aisa kuch bola hi nahi Ty tum kyn kerwany per tuli ho jb k aisi koi baat nahi wo khty hain meri na irada ha na neeyat na hi ma na kabi Aisa kuch kaha tu ab app bateiyein ma kaya karon buht prashan hon mery 2 bachy hain.

Dua ke aadaab me se ayk adab

Q: Aik waqat thaa mujay apni duaon par bohaat yakeen thaa and mujhay surity hoti thee k mayri dua zaroor kabool ho gee. Allah pak say aik dua bohat shidaat say mangaati thee main n pora honaay ka yakeen 100% thaa. neyaat b saaf thee but wo dua qabool nahi hoi. os din k baad say muj say koi dua nahi maangi jaati. ye kahnaa ghalaat nahi ho gaa k mayra ap dua say yakeen haat gaya hay or ye soch zehan main agaee hay k jo Allah nay daynaa hay wo he daynaa hay ap kisi or cheez k leya jitnaa marzi koshish kar lain. mjy saab maloom hay k agr es duniya main dua kabool nahi hoti tu os k b chaar pehlu hain i.e akhraat k leya rakh di jaati hay, koi museebaat taal dayti hay etc but phr b mayray dil ko sakoon nahi milta n main zada dua nahi maang sakti pehlay ki tarha dil nahi lagtaa dua main. ajeeeb gunhagaar kisam ki kayfeyaat rahti hay mayray andar n her time feel hotaa hay main Allah Pak ki na pasandida Larki hoon. Plz tell me kia karon.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main kal raat me ek khwaab dekha hu. Kya iska mujhe tabeer bataye ga. Mene dekha ke raat me soya hua hu or meri ruh bahar nikal ke kahi ghumne gai hai or utne ke andar subha ho jati hai fir jab meri ruh wapas ati hai apne jism ke andar jane ke liye to dekhta hu k me kafan me lipta hua hu or meri ammi abbu or wor kuch log sath me row rahe hain. To me apne jism ke andar jane ka kosis karta hu lekin ja nahi pata hu. Utne me meri ruh mere ammi abbu ko pukarti hain ke main jinda hu par meri awaz koi sun nahi pata hai bahat kosis karne par meri ammi sunti hain fir abbu ko bolte hain ke mera ladka jinda hai uske baad mujhe kafan se nikala jata hai fir mujhe kaha jata hai k ab tum apne jism me aa jao me kosis karta hu par nakamyab rahta hu to me apne jism k pass baith kar rota hu or Allah se faryad karta hu utne k andar mujhe aisa lagta hai k gaib se awaj aa rahi hai k ab tum andar ja sakte ho to main fir kosis karta hu to meri ruh mere jism k andar chali jati hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne kai dino pehle khwab dekha tha tahajud ke wqt. Mai or meri cousin ham sath khari hoti hain ke ma asman ki taraf daikhti hun to kale badal aa rahe hote hain jaise hi qareeb ate hain un se parinde ban jate hain or side pa chale jate hain mere dil ma foran ata ha k yeh azab k liye honge. Pir jaise hi wo chale jate hain samne se do white parinde ate hain or hamare qareeb aa kar un se do piyari larkiyan ban jati hain dono pure white kapron ma hoti hain, dono ke hath ma page hota ha aik mujhe daiti hai aik meri czn ko or kehti hai ke yeh Hazrat Ayub (Alayhis Salaam) ki taraf se ha. Mujhe yaad nahi us page pa kiya likha tha shaid wo Arbi me tha to wo mujhe kuch kehti hai laikin mujhe sirf yeh do alfaaz yad hain ke 'Dera ismail khan' or 'Inkar mat karna'. Shaid aisa kaha tha ke waha se koi ae ga to inkar na karna. Mai us se poochti hun ke kiya matlab hai wo mujhe kehti ha k tumhare sawalon ka jawab is page ma hai. Phir wo kehti hai ke ma jati hun meri dosri dost chali gayi ha or wo chali jati hai. kindly is ki tabeer bata dain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine kuch din pehly khwaab mai dekha ke meri nani (jinki death hogai hai aur unsy mai bhot ziada closed the bachpan mai) maine dekha ke nani ke ghar par hun aur nani so rahi hain thori dair mai nani uth kar mery pas bhag kar ati hain aur kehti hain k unky seeny par ek kaali billi bethi kuch parh ka phunk rahi thi to nani bohot dar jatin hain. Mai khwaab mai kehti hun nani sojayen. Aap mjhy jawab zuroor dega.