Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ne kal khwaab me dekha ke mai or mere walid fout ho gae he or mout ka farishta hamay leney aaya he.mera husband merindead body ko paker ker khoob ro raha ha. Farishtay hamay ooper le jatay hain waha ek aam sa kamra hota hai lakin us ki charo taraf Allah k naam likhay hotay hain. Mere walid ko wo jannat me bhej dete hain or muje wahi chor dete hain or kahtay hain waha jannat hai chali jao..mai thora aagay bharti hu to agay seriya hoti hain mai un per charhnay lugti hu to waha saanp hotay hain pahle chotay or patlay phir thoray baray saanp.!e bohut der jati hu or rotay huay Allah se faryaad kerti hu k aye mere rub muje wapis bhej de dunia may mai waha ja k wasi he zindgi guzaru gi jasi tu ne guzarnay ka hukam diya tha..phir mai wapis dunia me aati hu or apne husband ko b nahi pahchanti to metri aankh khul jati he....muje plz is khuaab ki tabeer bata dain mai bohut upset hu.....mai shadi se pahle poori namazain parti thi but ab saal hogya he fajer nhi perh rahi.mera husband deen ki taraf bilkul b nhi hai. Aap muje mere khuab ki tabeer bata dain plz.mai unki taraf se b bohut preshan rahti hu.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khawab mai monkey dekha. Window se ander ata hai. Pehle chupta hai phir saamne aa jata hai. May aur my elder brother aik chaader (bed sheet) pakrtay hain ta keh ousay qaboo kar lain. Ous ke haath me iron ki cheez hoti hai. Woh hamay darata hai keh woh hamay zor se maaray gaa. Mera bara bhai mana kar deta hai keh is par chaader ne dalo. Itnay may woh iron ki cheez ous ke haath se gir jaati hai aur mai ousay utha leti houn. Mera bhai khush hota hai keh ab yeh qaboo aa jay gaa. Woh monkey haath ke signal se mujhse wapis maangta hai. May oysay kehti houn pehle hamaray gher se nikal jao phir doun gi. Woh gate ki taraf jata hai. May door kholti houn aur woh bahir nikal jata hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me Canada me rehti hoon. Kal raat me ne khwaab daikha ke merey gher (Pakistan) me makriaan nazar aati hen our me unhain marti hoon, ye kehtey hooey ke zehreeli hen. Saath me makri ke jaley bhi saaf kerti hoon our garage ka aik hissa gher ki enterence wash kerti hon.

Khwaab ki ta'beer

Q: Yeh khwab mera kai saal purana hai jab main kaafi namaz padta tha or kaafi durood sharief padhta tha or har raat ko durood sharief padhte padhte hi so jata tha maine khwab main dekha ki main faizan-e-sunnat kitab parh raha hun or us ke pehle page per ek dorood sharief likha hua hai woh dorood sharief yeh hai (ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIN INNI WAJ-HA WAJ-HA KUNTA) maine yeh durood sharief khwab main hi pada hai tabhi mere kaano main awaz aai ki jo yeh durood sharief padega woh jannat main huzoor (PBUH) ke saath is tarah rahega ki jis tarah do taar apas main mil ker rehte hai phir maine dekha ki main ek jagah hun jahan per bahut bheed hai wahan per main sab se aage khada hun wahan per do taar hain log keh rahe hain ki ek taar huzoor se nisbat rakhta hai or dusra tumhaare wajood se to tum apna taar huzoor se jod do to maine apna taar us dusre taar ke saath jod diya phir meri aankh khul gayi main woh durood sharief bhul gaya phir main dubara so gaya or phir mujhe wahi durood sharie dubara sunaai diya maine uthte hi us durood sharief ko likh liya .. magar aisa durood sharief maine kahin per nahin pada hai na hi likha dekha hai agar aap ko pata hai to bataayen or us durood shrief ka matlab bhi baatayen or mere khwaab ki tabeer bhi bataaye or mere liyen dua karen.