Urdu Questions

Ghusal karne se pehle kapre ku dhowna

Q: Ihtilaam hone se me napaak ho gaya aur mere kapre bhi napaak ho gaye. Ab mera sawal ye he ke ghusal karne se pehle agar me apne hatho ko achi se dholu aur phir apne kapre dho dalu to kya hamare kapre paak ho jayenge ya phir ghusal karne ke baad kapro ko dhoya jaye tabhi kapre paak honge. Kehne ka matlab ghusal karne se pehle kapro ko dho sakte he. Ghusal karne se pehle kapre dho dale to kya wo paak ho jayenge ya nahi.

Interview ke lia purada utaarna

Q: Mei UAE mei rehti hoon aur proper naqab krti hoon. But maali halaat ki waja se mujeh job dhoondna par rahi hai. Aur mujeh naqab khol ke interviewsk liye jana parta hai. Kya mera ye amal theek hai? Mere dil mei boht malal aur afsos hai naqab kholney ka lekin paison ki tangi ki waja se aisa krna par raha hai. Mehrbani kr k mujeh koi wazeefa b batayen k humarey maali halat b achey ho jayen.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main me khwab dekha ki main namaz pad raha hun ek saksh ki iqtida mein sab kuch to sahi ada karta hai lekin sajda ke time wo opposite sajda karta hai main bhi u ski iqtida mein ulta sajda karta hu aur theek mere bagal se kuch dur ek a aadme sahi namaz ada kar raha hai aur mere sat wale imam ne Salam bhi nahi peri aur main ne uski iqtida ki.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mei ne khawab mei dekha hai ke mei apni walida (jo ke 3 saal qabl fot ho chuki hain) un ko sarak paar karwa ke gahr le aati hoon aur saath saath unhen saib (apple) bhi khila rahi hoon. Mehrbani kar ke mujeh is khwab ki tabeer bata den. Dua mei yaad rakhiye ga.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mei boht pareshan hoon. Mei ne ajeeb sa khwab dekha ke mere ghar mei ayk chooha phir raha hai aur us ki shakal kuttey (dog) jaisi hai. Meri khala (jin se humarey relations itney achey nahi hain) wo kehti hain k ye to nahi nikley gi kiyo k is ne yahan bachey diye huay hain. Jabkey Meri ami (jo ke asal mei fot ho chuki hain) us ko dandey se musalsal window se bahar nikalney ki koshish kar rahi hain. Mehrbani kar ke is khwab kitabeer bata dijiye. Mei boht pareshan hoon.

Qasam towrna

Q: Mere friend ne apna phone bandh rakha tha mai ne usko gusse mei msg kiya ayenda tera phone kabhi bandh aya allahs kasam tum se kabhi baat nahi karungi. Itne mei uska msg aur miss call aya wo dr pass hai scan karwa rahi hai. Mai ne phir call kiya uska phone bandh ab mai us se baat karne darr rahi hun. Mujhe lagta hai mujh pe kasam lagu hogai. Ab mai kya karoon?

Gharelu pareshaani

Q: Mujhy hidaayat ki zaroorat hai. Mein eik talaq shuda aurat hoon bachy hein jo mery sath hein mein ny apny ghar ko bachany ky liye shadi ky chand din baad hi koshish shroo kar di thi halat hi kuch aesy thy sari zindagi issi ma guzari par kabhi na shohar sy na kisi sy na Allah sy gilla kia jitna himat thi kia khushi khushi sab bachoon ki tarbiat ma koi kami nahi rakhi deen dunia acha bura sab btaya per shyd mery naseeb ma kuch aur tha sari mehnat zaya hogai aur eik din shohar ny ghar jaidad ky peechy apny biwi bachy chor diye phir bhi himmat nahi hari bachion ki shadi ki Alhamdulila Allah ny kia jo kia sab woh karny wala hai mera sawal yeh hai insan ki azmaishein kabhi tu khtm honti hongi ? aur hoti hein par meri q khtm nahi hoti aur kab tak kitna kabhi kisi ky liye dil ma ghlti sy bhi bura nahi soocha sab ko jinhon ny jo kia mery liye sab ko sachy dil sy maaf kardia kisi ky liye kuch dil ma nahi rkha kabhi Allah janta dilo ky haal par ab yeh sawal zuban par agaya aur kab tak mein inn cheezon sy guzroongi koi tu saya hona chaiye aesa q hai mery sath?kuch din phly eik insan sy mili ussy sy dosti reshty ma badal gai pyar ka reshta kabhi mili nahi un sy sirf mssgs sy baat hoti janti hoon ghlt hai per shyd thak gai iss liye yeh reshta bna bethi kia gunah hai pyar hojana kisi sy app ki hidayat ki zaroorat hai woh eik acha insan hai ussy koi dukh nahi dyna chahti q ky us ny mujhy woh dia jo kabhi nahi mila kamzoor hogai kia gunah hai uss sy baat karna milli kabhi nahi sorry buhat lambi mail hogai hidayat ki muntazir.

Tiens company

Q: Mene apko china ki compny tiens ke bare me sawal kya tha. Please btain agar ye jaiz hai or agr najaiz hai to kis bina pe esko najaiz kaha jata hai owr es company ka knsa tariqa aesa hai jis se yeh kaam na jaiz qarar diya ja raha hai plz mje detail m btain plz.