Urdu Questions

Baalti ku saaf karna

Q: Thori peshaab lagnewali kuch kapre ko kisine (kapre dhonewale) powder our thori paani ke sath kisi baalti me biga kar rakh diya. Phir aisa hua ke kapre ko bigane ke foran bad Jumma namaaz ke waqt ho gaya our dosri baalti bhi nahi hai gusal karne ke liye, our waqt bhi bohot kam hai. Toh os baalti se kapre ko nikaal kar aur undar ka pani daal kar, phir baalti ke tari me thori pani lekar pani ko hila kar peka gaya. Phir baalti me paani bhar kar thori pani beh jane dene se kya ye andaza lagaya ja sakta hai key baalti bhar jane ke bad jo pani baalti ke upar se beh gaya os paani ke sath najaasat chali gayi. Is tariqa ko istammal karne se kya baalti paak hojayega?

Network marketing

Q: Network marketings ke kaam Islam mei haram hai ya halaal? Kyun keh harr network marketing ka oosool hai keh aadmi talash kar na hota hai. Aadmi mil ne ki wajah se commision milta hai. Aap sab mere khayal se QNET naam ka network marketing company ko zaroor jaan tae hogae jo kay mulkon me mashoor hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere ammi ko 11, 12 din pehle khawb aya tha. Unho ne dekha ke aasman par Allah ka naam likha hua hai phir kuch der bad Muhammad Sallellahu alaihi wassallam ka naam likha hua aur phir ye likha paya ke Allah ku yaad karo. Wo namazein wazife wagaira padhti rehti hi hai. Namazein kabhi miss hojati hai to qaza karleti hai. phir ye khwab ki tabeer ky hai aap please bataye?

Maal me barkat ke lia wazifa

Q: Meri husband ki buisness mey bohot problem chall raha hay. NGO sey loan liya hua hay. Rishwat dena lena donoi to haram hay. Hum mangtey hay ki loan ka cakkar khatam ho jay aur halal ruzi ka bandobast ho jay. Buisness ka problem aur loan ka problem sab khatam ho janey ke liye kya wazifa parengey please help. Hum aur meri pura family bohot pereshan hay. Aisa koi hya ki hum ko financially help karenge. Wazifa bataiye please. Meri liye dua kijiye please.

Khwaab ki ta'beer

Q: Khwaab mey dekha ke mere aas paas bohot sara pagal admi hay. Sab paagal hum unsabkey bich sey bohot asani sey and bohot jaldi paar ho ja raheyhay. Sabsey paar hokey eisi rasta mey pohchey ki do road doo taraf aur hum ko samaj mey nehi arahay kaun taraf jayengey. Aur meri nind tut gaye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mae nae khawab main dakha kae main amrud kah raha hoon amrud ka colour full peela paka huwa amrud hai pata nai amrud meetha hai ya peekha. Main nae khawab main dakha kae main charpae per laita hoon aur mara dost kahta hai kae Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne kaha hai kae app kamyab ho gae, phir woe mujh sae passay mangta hai main apne parse main sae 50 rupay ussy daata hoon aur kahta hoon jo aap kae pehle dane they woe barbar ho gae. Mere pass aur passay be hote hain.