Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Kal subah ayk khawab aya jo pehle boht martba dekh chuka hoon, darasal hamara ayk plot tha jo hum ne sale kar dia huva hai aur us main hum ne phal dar pode lagaye huve the. Khawab ye hai ke main usi plot main un podo ko dekh raha hoon ke un ki growth ziyada nahi hai. Yani wo chote chote he hain aur ammi se bhi bolta hoon ke in podo ko dekhiye ke ye badhte he nahi aur utne ke utne he hain aur kehta hoon ke main nursery se ache wale pode le kar aaoonga ke jo zyada phalne phoolne wale hon phir ap dekhna kitne ache lagte. Mufti sahib main ye khawab kai martba dekh chuka hoon aur jitni bar bhi main ne khawab mein un podo ko dekha wo waqai chote chote hain aur wo badhne wale hargiz nahi hain. Please is khawab ke bare main meri rahnumai kejiye. Allah aap ke ilam main izafa kare ameen.

Bure khiyalaat

Q: Mere bhai ko bht bure khyalat ane lage ha jab wo namaz parhte hai to unhe ajeb ajeb khyal ate hai. Islam ke bare me ghalat khiyaal ate hai to please kuch aisa dua batae jisse unhe bure khyalat na aye jab wo akele bethe hote hai to unhe na kamyabi ke khyalat ate hai namaz me ulte sidhe khyalat ate hai please koi dua batae.

Shaadi me pareshaani

Q: Mein bahoot pareshaan hun. Please aap kuch samjhayen mujhay. Mein be meri sister in law ko mere ghar me rakha 3 yrs se rehtrahi hai vo.meri nani ne mujhay shaadi mein Diya tha.meri shaadi hokar 6yrs complete hojayengay April mein.jab kabhi mein usse kiraya magh ti hoon to ghar mein ladaayi hoti hai.jab unhaey ghar se nikhlo kaha unhone paise badadiye. phir kuch mahino k baad unhone kaha k mein 2 months k baad aap ko kiraaya dungi. 2  months baad meine maanga aur vo baattamizi karna churu kardiye mein me bhi ki mere 3 sisterinlaws aur meri saas n mujhay galyan diye meri beti ko marjaao kaha kiday lagkar aur mujhay kabhi bacchay na ho kaha. Mene bhi unsay bahoot battamizi ki mein 20 saal kind hun.plz mujhay bataaye mein kya karun mujhay meri galti ka ehsaas hogayahai hat baar mein battamezi karti hun aur mafi mangti hun aub mein kya karun unhone jokiya vo galat tha vo baday hai meri maa ke umar k mujhay khamoosh rehna chahiye tha. Mujhay meri galti ka ehsaas hai plz bataaye mein kya karun mein bahoot galat hun plz help me out. I am very sad I am at my nanis home. My husband went to jamaat for 40 days. After 40 days he will be receiving me from my home then how can I be there with his family I have done this much wrong they will not talk to me. Please mujhay koi raasta bataye. Air mujhay aur kids bhi nahi hore sab log mera mazaakh udare. Meri ek ladki hai 3 years ki. Uske baad aub tak kuch nahi hua dua kariye. Mere in maslon ka hal bataaye.

Hadith ke mutaalliq sawaal

Q: Ayk Hadith batayi gayi hai ke “Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya ke jo ramzan mahine ki aane ki khush khabari pehle kisi ko de to us par jahannam ki aag haram hai”Yeh hadith sahi hai ya nahi aur agar hai to hawala pesh karne ki zahmat karen.

Wudhu ke liye paani ka intizaam karna

Q: Hum kal campfire ke lia thar (registaan) ja rahy he wahan pani nahi hoga to me namaz ka wuzu kesy karon ga tayammum karna pare ga? Owr sawal ye hai ke pakhana kharij kar ke maqad ki jaga ko kese saaf kya jaye ta ke namaaz aada ho sake owr hawa khaarij ho jae to kese paak hona hai? Barayemeherbaani tafseel me bataye. Sukriyah aur aaj hi bata dein qe kal hame jaana hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mera question aap se khwaab ke mutaliq ha. Main ne aaj se do saal pehly aik khwaab dekha owr khwaab main main ne Allah Ta'ala ko dekha orr main ny un sy khawb main bat b ki. Sir kia Allah ko hum khawb main dekh skty ha? Ya phir ye koi shetan ki chaal ho ke wo khwaab main Allah ki shakal ikhtiar kary? Kis wakt ke khawb sachy hoty hain?