Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai ne ek khawab ki tabeer pochni ti apse. Mai ne khawab mai dekha ke ek pahari hoti hai, mere sath ek bacha bhi hota hai jo mai nahi janti kon hai, or kuch anjan log bhi hote hain jin mai se do larkiyun ko, mai kehti hon ke hum, mil ke is pahar peh jayenge toh shayd hum upar tak ja sake wayse toh mushkil hi hai. Phir mai us bache ka hath pakar ke upar charti hon. Boht upar nahi lakin half ya shyd is se bhi kam. Phir un do larkiyun mai se ek larki mujhe awaz deti hai ke woh dekho jaise salab araha ho. Or mai apne right side peh ja ke dekhti hon toh salab jaisa reli hoti hai lakin pora paani mitti se bhara hota hai. Woh saaf pani nahi hota or us pani ko dekh ke mujhe ghabrahat hoti hai or mai wapis neche utarne ka irada krti hon and mor jati hon. Phir mere ankh khul jati hai or us waqt bhi mai boht dari howi hoti hon. Raat ko hi kisi pahr dekha tha time ka, nahi pata. And mufti sahb asa ek khwab mai ne pehle b dekha tha pahar peh charne wala or peche se kala pani tezi se ata hai mai apne husband k sath bhag ke pahar peh charti hon. Is khwab ko taqreeban ek sal hone ko hai and mai ne pehle bhi apko bataya tha ke mai apne husband ke wajah se boht pareshan hon. Un ka rawaya mere sath thek nhi. Bara-e-mehrbani is khawab ki tabeer bata den and aagr kuch pharna ho toh woh bhi. Aap ki bari mehrbani hogi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri ammi ne ye khwab kuch din pahly dekha tha. Unhy kabhi bhi khawab yaad nahi rehty. Phir ye unhy yaad reh gaya. Ami ne dekha ke teen burqa posh ortain jinho ny apny cheray bhi niqaab se dhaky hoy thy ami ke paas aain or ami se galy milien or ayk ne apny chehray se naqaab uthaya (wo hamari bari momani thi jin sy hamara milna julna nahi hai) baaki do ne niqaab nahi uthaya. Un ke hathoon mai bary bary thely thy jin mai sy ayk thely ko ulat kar momani ny ami se kaha ke dekho hum tumhary liy dolat laey hain. Jab ke un thelo mai tasbeh bahri hoi thi. Ami ne unhy dekh ke socha ke ye to dolat nahi tasbeh hai or tasbeeh ke dany hain. Is kwaab ki tabeer kia hogi? Kis taraf ishara hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai aik khwaab ki tabeer poochna chahta hoon. Mai nai khawab mey dekha kai raat ka waqt hai aur andhera hai aur mai aik road par ja raha hoo aur mai dar raha hoon aur phir aik do bazurg log jinoh ney safaid kaprey pehney huwey hai aur safaid dari bhi hai woh bhi waha atey hey aur mujey rasta batatey hai. Phir mai aik larko key hostel mai pohanch jata hoo jaha lights lagi hoi hai aur roshni hey aur waha lift harab hai aur mai seeriyo key rastey pehli manzil par jata hoo to waha canteen hai aur waha garam rotiya aur sandwiches ban rahey hey aur mai waha sandwiches ka order daita hoo aur baith jata hoon. Please is ki tabeer bata dai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne ek meat factory me apna hi gosht tanga dekha he jis me kuch kale kale reshey se latke hue he. Aur mera dost jo mere sath me khada hae mujhe samjha raha hae ki yeh tumhre jism me bemari thi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Darasal mufti sahab hume do khwaab ki tabeer janni thi. Ek jisme hmne dekhaa ke hamare dushman hamare ghar me hamare bed pe so rahe aur ek jisme hamne dekhaa ke taazi khoob sari aur medium size ki fresh fish hame washroom ki khutti me dikhayi diyaa. Please apse request he iski tabeer batayen.

Mazi ki pareshaani

Q: Agar bar bar mazi zara ci bhi baat karne ya zara sa bhi khiyaal aane par aaye to kiya karna chahia? Agar is baat se chutkara pana mumkin nahi hoparaha ho to kiya karen, baraayemeherbaani rehbari farmaye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere ammi ne khwaab aya tha ke ek bhains ya bail (black colour) unhen dara raha hai aur wo use dekh ke dargaein aur janhan jarahi thi wanhan se laut gai. Pls is bhainsae ka kya matlab hai ye bataein.