Mouduaat ke upar kitaabe
Q: 'Al mozuaat" kis ki book hay, aik book mozuaat-e-kabeer hay Mulla Ali Qari ke, Kia yeh sahih book hay? Aik mera khayal hay Ibnul Jowzi ki Al Mozuaat hay. Koun si book leni chahye?
Q: 'Al mozuaat" kis ki book hay, aik book mozuaat-e-kabeer hay Mulla Ali Qari ke, Kia yeh sahih book hay? Aik mera khayal hay Ibnul Jowzi ki Al Mozuaat hay. Koun si book leni chahye?
Q: Muj sy aik bohot bari ghalti ho gyi thi. Aaj se saat saal pehly main ne quran majeed per hath rakh ker ye kaha tha ke main 25 saal tak dahri nahi rakhoon ga or joon hi mari umer 25 saal poori ho gi dahri rakh loon ga. Main ny na sirf qasam khai thi balky ye bhi kaha tha ke agr main ye qasam toroon tu muj per khuda ka azaab nazal ho jb main ny ye qasam khai to qasam khany k kuch arsy bad mujy ehsaas hua k mujy ye qasam nai khani chahey thi main ny aj sy 2 saal phly us qasam ka kafara bhi ada kia tha or jab mari omer 25 saal hui phr b main ny dahri nai rakhi sir mujy kia kerna chahey ke Allah mujy hmesha ke liey baksh dy main ny Allah sy bht maafi b mangi ha kia itna bara gunaha kerny ke bad bhi Allah muj maaf ker dain gy orr han main ny ye qasam 2 dafa khai thi aik din khai phir doosry din dobara khai kafara aik hi dafa dia ha jis wakt main ny ye qasam, aik us wakt mari umer 17 saal thi?
Q: Maine khwaab mein dekha hai jis larki se mera nikah hone wala hai woh hamare ghar aai jab woh aai to ghr pe to khwab mein dekha ki uske dress mein mere shirt ke button ek dusre jaakr atak gaye mil gaye jab mein use nikaal rha hu to nikal nhi rhe the to maine gusse se mera shirt phadbdiya uske baad raat bhar wohi khwab mein rhi kbhi haste hue kbhi sote hue aap iski tabeer batade to. Ap ki maherbaani hongi.
Q: Mujhe mazi bohot ziyaada aati he. Is ka kiya ilaaj karwaana parega ya nahi? Ye bhi bata dijiye.
Q: Mai ne aik larky se Quraan majeed pe hath rakh ke kaha ke Mai Allah, Rasool aur is Quraan ku gawah bana ke kahti hn ke mai tumhy apny nikah me qaboll karti hn kiya tmhy qabol hai? Aur larky ny 3 bar haan kaha ayr isii tarha mujhsy bhi pochaa aur mai ny quraan py hath rakh k 3 bar Haan kaha. Is nikah ke bary my hum donu ke ghar walo ko maloom nahiii Aur baad my hum donu ny Quraan py hath rakh ke kasam khai ke hum es nikah ko qabol karty hai Tu kiya yai nikah sahee hai? Meray us ke sath taluk raha magr pore tarha nahi. Mai sunni hon Mera sawal hai k kiya yai nikah sahee hai?
Q:
1. Muje peshaab ke qatro ki takleef he. Lekin sirf namaaz ke waqt hi muje qatre aate he aur waqt me nahi aate. Toh kya me abhi mazoor hu?
2. Me namaz ke waqt tissue paper underwear me rakhta hu kya tissue paper chalega, kyu ke ghar se masjid jaate waqt chalte chalte tissue paper andar khisak jaate he, toh napaaki sharmgah ke kisi aur hisse pe bhi lag sakti he, toh isme kya ikhtiyaar rakhna chahiye?
Q: Mere ammi ko khwaab me mere dost unse chawal ke chudre maang rahe hai hamare ghar akar. Iska kya matlab hoga?
Q: Mere shohar India aye do mahine hogaye phir wapas jane ka koi raasta nazar nahi araha. Kaam ke liye bahot pareshan hai. Kuch hal bataiye.
Q: Waise to mujhe khwab bahot kam ate hain phir aaj maine subah 10 baje ye khwab dekha ek south indian jaeef joda mere ghr me hai unme se wo budgi aurat apne hath se khana lene kitchen me aain to maine unhe kahan aap kyun takleef lerahi hain muje awaaz dedi hoti.
Q: Mene shaadi ke liye istikhara kiya tha useme ye khwab aya. Ayk program he usme ladke ke abba aur kuch log (non muslim) main guest he unke abba ka nam lastme announce hua program ke starting me unke abba ne white candles nikale apni jebmese jalane ko. Bad me aur ayk ladka candles (red and white both colour) jalaneka kam kar rhe kuch jali, kuch nhi kuch sirf melt horhithi roshni ke bger. Unke abba bhi jala rhe the lekin wobhi sirf melt ho rhi thi, unke abba bol rhe the me iska kharcha me dunga. bad me me bahar ayi mujhe aisa feel horaha tha ki me unke yaha job kar rhi hu me pareshan thi wo kaha gaye apni dusri wife k sat to nhi mujhe 1 room se awaj ayi room me andhera tha mujhe laga ye yahi par he badme me 1 alag room me dikhi wo aur unke abba room k bahar the unke abba unhe bol rhe the asma ne mera kam(candles jalaneka) nahi kiya to wo bole abhi wo nyi he bad me sabhi candles jalalegi me bhot khush hui unke chote chote businesses he iski tabeer kya he.