Urdu Questions

Faarigh ka lafz talaaq ke lia istimaal hota he

Q: Mere husband hamesha mujhe baat baat par kehte rehte hai ke tum meri taraf se farigh ho yaha se chali jo abhi to hafte pehle ki baat hai mere husband ne kaha meri taraf se tum farigh ho mai tumhe talaaq deta hoo, do din baad maine poocha ke ap ne aisa kyu kah mai yahi soch rahi ti ke unhe is baat par pashtava hoga par mere husband ne kaha us ne jo kaha teek kaha or wo likh kar bi de dega aur phir kaha meri taraf se tum farigh ho alag kamre mai soya karo, us din se hamari koi baat cheet nahi hu mujhe kuch samaj mai nahi araha. Please muje bataye kya mera nikaah toot chuka hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti Saheb aik khawab ka matlab batah daen. Me khawab dekhti hon ke meray husband muj say humbastri kartay hain aur phir meray samnay kisi aur larki say humbistar hotay hain aur aus larki ka kawara pan zayal kartay hain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwab ki tabeer janna hai. Mujhe raat me khwab dikha ke achanak meri tabiyat khrab hui aur mjuhe khoon ki ulti hone lagi to mere bade abbu mjhe dawakhane lekar jarahe the k aur ulti hui aur onhone dua padhi aur mera inteqal hogaya. Ye kwab kuch dion pehle dikha but time yad nahe rat kl k konnse hisse me. Aur bar bar mjhe mere bade abbu dikhai dete khwab me. Please as early as posssible reply kijiye.

Gunaaho se towbah karna

Q: Mera khayal he ke mein ne kuch gunnah aisay kar diye hain jo abi Jari hain jaisay mein ne apne kuch doston ko movies ke websites batai the, ab mein to movies nai dekhta. Wo ab bhe dekhte hain, to ab kia un ka bhe gunnah muje bhe hota hay aur ab ap muje batain ke mein kia karun aur kia yeh gunnah mein rook sakta houn?

Shaadi me pareshaani

Q: Meri mangni 2012 mai hoi thi jin se mangni hoi wo meray chacha ke betay thy ristha meray cousin ki pasand se howa hy meray abbu saudia mai rehty hyin chacha ne abbu se request karky mery mangetar ko saudia bhejdia woh 2 saal taak meray sa sudia k ghar pe hi rehy. Mangni kay baad woh kafi khush rehy hain lakin mangni ke aik saal baad unka rawiyaa bara ajeeb sa hogay unhonay ne mujhse baat karna bhi kam kardi phir baat baat pe larai. Meri shadi 2014 mai hoi shadi se phely susral walay buhat kuch dyty thay lakin shadi kay waqt unhone mujhay koi bari nahi di sirf aik sonay ka set dey dia  aur haq mehar bhi meray susar ne kafi khamoshi se fisad kia. Aur meray sohar kay dil mai yai baat daldi kay haq mehar ki raqam ziada hai. Khair shadi kay teen month mai susral mai rahi. Wahan meray sohar ka buhat kaam phone ata thaa meray liyai woh zida taar apnay ammi abbu ko karty thy mujhay meray ghar ruknay nahi deyty aur na pasand karty thay mai ziada phone karoun ghar. Khair 3 months baad shadi kay meray bhai aur abbu ne mujhay saudia bula lia abb mai abbu k ghar mai rehti hun apnay sohar k saath. Lakin mujhay apna sohar ka rawiya nahi pasaand. Woh office mai hotay tuo ghar pe baaat karty rethy hain pakistan. Ghar atty hai tuo bss aik room mai rehty hain aur ghar pe baaat karty rethy hin ya so jaty hain. Mera is baat pe jhagra hota retha hai 3 month hogay mujhy lakin bas meray ghar wallon ko bura kehnaa aur apnay har baat karna yai hi karty rety hain. Mufti sahaab unka koi paisa khurch nahi hota. Sab abbu aur bhai karty hain. Phir bhi buray hain meray abbu or bhai aur mujhay haar baat pe bura bolna larai karna meray cheray ko bura kehna aur pata nahi kia kia bolna. Mujhay office se aik phone nahi karty bas apnay ghar pe baaat karty hain mujhay acha nahi lagta aur samjh nahi ataa kay mai kasay samjhao?