Khwaab ki ta'beer
Q: Mujhy apny elder sister ke ek khab ki tabeer puchni hy. Unki age 43 hy or who abroad main rent ha in apny husband or bachon ke sath, unky inlawz ney start sy he unky sath kafi zulm key jiski wajah sy who alag rehti hain. Inlawz ka ravayya 20 saal k baad bhi still wesa hy. Meri sister jummay lo subha fajer ki azan sy pehly khab dekha k wo pakistan main apny susraal main hain unki saas sehan main bethi hui hain or meri sis kapray washing ker k kaam hatam ker rahi hain or mu main ek ayat parh rahi hain jo hy ," rabbi inni magloobun fantasir". Yeh dua who mu main bar bar parh rahi hain apny kaam k doran. Or sath hazrat Ayyub (a.s) ki dua "rabbi anni musanni azzuru bhi parh rahi hain.is khab ki tabeer wo Jan na chahti hain. Unko pehly wali ayat sahi yad hy ke khab main bohot parhi lekin dusri wali ayat main khab main sirf musanni azzuru yaad reh saka. Puri ayat ka yaad nahi k parhi k nahi.