Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere walid sahab intekal kar chuke hai. Wo Saudiya mai rehte the. Un ko friday wale din dafnaya giya tha. Mere walid k intekal k bad meri aik behan jo london mai rehti hai uss ne khawab dekha jese mere walid wafat paa chuke hai aur meri walda roo rhe hai aur wha par aik white color ki bori pari hai jis k andar morgiyan hai aur meri behan unn ki khal utar utar kar unhe rakhi ja rhe hai. Meharbani farma kar mujhe iss khawab ki tabeer btae aur iss k liye koi sadqa hoo to wo bhi btae.

Ghusal karne ka Sunnat tareeqa

Q: Mera sawaal ye he ke ghusal kab faraz hota he or ghusal karny ka sunnat tariqa kya he? Agar shehwat ki waja se jo paani jaisa liquid ata he jisse me samajhtaa hu manni nahi kehte us se bhi faraz hota ha ya nahi owr pehle jaisa sawaal ke agar aurat ka paani aisy baahar aye to usse ghusal karna chahiye ke nahi. Meri biwi kabhi kabhi ye sawaal poochti he is liye ke jab hum sirf piyaar ki baate karte he to hum downo mahsoos karte he ke thowra paani nikla. Kya hamain ghusal karna chahiye?

Showhar bohot ghussa hota he

Q: Mera masla hai ke mery husband ko gusa boht ata hai main un ki har baat maanti hun phir bhi wi mujy saru famliy ke samny zalil krty rehty hain har baat py mujy esa lgta hai ke un ko main pasand nahi hu wo kisi or ko psand krty hain main thora sa bi bolu to wo mujy katny ko dorty hain or marty bhi hai ap mujy koi hal bataye.

Mazi

Q: Mera sawal ye he ke 'ihtlam' honay se pahlay jo ratoobat pani ki tarah ki boond ki shakal me ati he to kya usse ghusal wajib ho jata he? Aur ye ke jab ye rutoobat nikal aaye aur kisi tarah ihtlaam honay se ruk jaey ya rok lia jaey to phir bhi ghusl wajib ho ga ya nahi?