Meerath
Q: Mere father in law ke naam ek property thee. Un ke teen betay or ek beti hy. Mere father in law ye property apni owlaad ke naam pe karna chahtay thay lekin kuch documents ki waja se ye property unki owlad ke naam pe transfer nahi ho saki. Itnay me on ke ek betay ki death hogai jo mere husband thay or kuch arsay baad mere father in law ke bhi death hogai. Ab mere brother in law nay wo property kisi ko sell kardi or onka ye kehna he ke is property me mera qanonan ya sharan koi hissa nahi hy. Please aap bataiye ke sahi kia hy?