Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Ye khawab mayri wife ne daykha he, tu unhi ki zubani. Khawab may apnay shohar ki dosri shadi hotay hoay daykha hy, hamaray kafi rishtay daar bhi shadi may hain aur apnay shohar ki 1 sister ko bhi daykha jo shadi ka sara arrange kar rahi hain. May bohat heran hoti hon keh ye dosri shadi keyon ker rahay hain. Mayray shohar ki sister mujhay bhabhi keh ker bulati hain tu may sochti hon ab mujhay ye bhabhi keyon keh rahi rehi hain, ab tu ye apnay bhai ki dosri shadi ker rahi hain. Phir sochti hon chalo apnay baytay (son) ko khana khila doun. Dil may ye bhi soach rahi hoti hon keh ab myray shohar es ko (2nd wife ko) le ker chalain jain gy aur ye sath rahain gy, ye soach ker mujhay bohat ajeeb lagta hy, phir may soachti hon keh in se kahonge keh abhi chalain jain mager raat ko mayray paas ghar he aa jain. Please es ki ta'beer bata dejia jaldi.

Buri khiyaalaat

Q: Hazrat I am 18 year old and I can't controle my nafs yaha tak ke hazrt har waqt mere zehen me sex ki baten aati rehti he even kabi kabi apne chote
bhai ke reproductive part me nazr par jaati he to bhi nafs bhadak uthta he. Kisi b ladke ko dekh k usse apni khuahish puri krne ka man karta hu and whenever my sister feeds hr baby & if by mistake I see hr pistan (uppr private part) toi ek dam de nafs bhadak jata he and trha trha k kharab khayalat aane lgte he and white décharge bhi hone lagta he. Mufti saheb please help me me kia karu? Ne namaz me dil lagta he na tilawat me. Kuch bhi samjh n'y aa rha he. Please reply jaldi deyega.

Khwaab ki ta'beer

Q: Khwaab main watrmelon yani tarbooz daikhne ka kya matlab hai? Me dkhti hun mre chacha kha re hn or sath main kch kh b rae hn k apne bchon ko b dunga tarbooz unk hath main hai or wo kha bho re hotay hain.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khwab me apni bohot purani dost ko dkha jis se contact ne taqreeban 7 saal se me ne dekha. Wo mere sath safr karti hai ham batne karte he phir me or wo mti czn b hm us k ghr jatay hain us k ghr mn mkai ki roti pak ri hoti hai mn us se khti hun ke tm mre ghr k pas ajao wo achi jga hai us k bad mn a k gari mn swar hoti hun lkn seat bht mshkl hti hai bht mshkl se gari k andr ati hun to mn apni czn se pchti hun k mri dst khan he wo khti hai k wo utar gai. Is khwaab ka kya mtlab hai? Please wazay kar dayn.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab may dekhi ki, hum rassi se ek choti charh rahe the upar humari devrani baithi thi wo himmat de rahi thi aa jaao. Aise Hume thodi takleef hui lekin chadh gaye aur sukoon ki saas liye. Iska tabeer kya hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khwaab me ek bohat bara toota hua sheesha dekha. Me us sheshe ko uthane laga tou uthane ke baad mere hath buri tarah kut gae. Aur mere hathon me zukhum hogae bohat sare. Iski tabeer kia he?

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene aaj fajar jume wale din dekha khuwb mein ke zaida yad nahi bus jo yad he wo ye mjh abu a k kehte hain k tailor ny tmhre kaprey silai kr dye hain le aya hun mein sochti hun tailor ny mjh kaha kaprey tayar nh dy ksy dye aur phr ek shoper di kaha buttons hain. Jsy table py shoper khali krti hun to rangeen buttons nikaley saray sath mein gold ka chala ring nikli acha tha mein heran hoti hun ye ksy aya socha abu ko pta na paray ring galati sy tailor k pas gai. Phr dkha hari rangen shades wali shrt jo silai ho ae us py sochti hun buttons esy lgaun set krti hun phr ring ka koi kehta h ye ring nh khol k dikatay hain pta nh kon tha chehra nh dikha kaha ring nh gold ki watch h pehn k dikhai n jo b tha kaha mri matlb uski hy. Mjh itna yad he eski tabir bta dien.

Khwaab ki ta'beer

Q: Ye khwaab meri ammi ne dekha tha. Wo ye khwab pehle 2 bar dekh chuki hain. Hum haqeeqatan ayk building me rehte hain yaha hamare flat ke alawa aur bhi kai saare logo ke flats hain aur hum ayk saal pehle hi yaha pe rehne aaye hain. Khwaab: Meri ammi ne dekha ki hamare flat me bohot tez tez paani gir raha hai to wo chat par jaati hain ye dehne ke liye ke paani kaha se gir raha hai hamare flat me. Magar jab wo chat se wapas niche aarahi hoti hain to apne flat ke bajaye wo dusro ke flats me ghus jati hain galti se. Aur aisa kai baar hota he. Sab log unka mazaq banate hain ke inko to apna ghar bhi yaad nahi baar baar dusro ke gharo me ghuse jaa rahi hain. Phir jab unhe apna ghar (flat) mil jata hai to wo andar aake dekhti hain ki ab paani nahi hai aur poora ghar sookha hua hai aur wo sochti hain ki jo paani jharne ki tarah tez tez gir rha tha wo ab nahi hai.