Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Aaj subhay 6am k bad mainy khawab mai dekha k ghar mai death hoi hovi hai kis ki par pta nai. Usi duran sb intezamat krty hovy meri maa ki achanak death ho jati hai or ek dam hi janaza utha diya jata hai lykin jo 1st janaza hai vo abi tk hai. Phr dekha mery bhai bhabi subhay ka nashta kr rhy han ek side pe beith k mai idr room mai gum rahi hon. Jahan mama sath soti the us jaga ko dekh roti hon bahr ati hon to mama jaisy roti bana'ny k bad hath dhoti the waist kitchen mai khari roti k bad hath dho rahi han mai dur sy dekh k dua krti hon ya Allah meri maa ko salamat rakhna sehat o zindgi atta krna ameen. Phr bhai roti kha raha hota hai uski platt sy apni roti nikal k lay jati hon or bhai 2 sec k liye apni roti ki tarf dekhata hai. Bus phr jag khul jati hai.

Haraam taalluq rakhna

Q: Agar koi married women kisi na muharram se mulaqat karey and wo naa muharram shahwat ki waja se us ki sharama gah pe apna hand touch karey, women ko kiss karey, uss ke baad women touba wa istaghfarr bhi karle, tou kia uss women ke nikkah pe koi faraq aega? Kia uss women ka nikah qaim rahega? Kia uss women ka nikkah haraam ho jae ga?

Haamila ku talaaq

Q: Mene apni biwi ko us wakt talak di jb wo pregnent thi aik hi wakt me 3 time talak di tu kya ye talak hogai he? Bohot se log khty hn pregnency me talak nahi hoti jb mene talak di tu aik admi or aik aurat ne suna tha jabky mene suna he k 4 logo ki mojudgi me hoti he talak. Please mje mere masly ka hall batayen.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meray doo khawab hain in kee tabeer batah dah, pehla khawab ....khawab ma koye muja batatah hai k nabi pak saw hamaray ghar kee masjid ma ayah hain us waqt ma Qatar ma tha bohat koshish karta hoon par mulaqaat nai ho patee. Dosara khawab dekhta hoon k pakistan apnay ghar hoon aur muja pata chalta ha k nabi pak saw hamaray ghar hayah hain aur kitchen ma hain aur kuch loog aun ko nuksan pochanay kee koshish kartay hain aur ma aun logon say lartah howay apna khan (ear) katwa data hoon par nabi pak saw ko phir nai dEkh pata. Al humdulillah Mufti Sab ma bachpan say he kabi koye asa kam nai karta k Alllah muj say naraaz hoo Alhumdulillah zindagi ka har lamha Alllah k huqam k mutabik guzarnay kee koshish karta hoo. Allah Inshallah qabool farmayah Ameen.

Teen talaaq

Q: Bachpan se sunty aye thy ke falan shakhas ka apni bewi se jhagrra howa us ne usy mara peta or 3 talaq bhi dy di jb hum pochty k kia ab wo us ki bewi ni rahi to sun k hairani hoti k ni us ki talaq ni hoi q k wo hamila thi or us k pait me bachy ne sans le li thi so aisy talaaq ni hoti. Mukhtasir ye k mera b apni bewi se jhagrra howa jo us waqat hamal se thi or 6wan mahena tha us ne mobile per talaq k motalba kia or me ne ye soch kr 3 talaq dy di k aisi halat me talaq ni hoti. Ab mujy btain k rajo ka koi rasta he? Me ne jis irady se talaq di agr wo ghalat tha to muje us ka ilam nhi tha or me ne kahin pharra tha k koi aisa kam jo gunah ho mgr tumhain khabr na ho sarzad ho jai to ALLAH toba krne per maf farma deta he kia mera ye gunah b maf ho jay ga.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti sab mera beta 8 saal ka hai mashallah , par padaish k waqr oxygen ke waja say na chal sakta hai na beth aur nai hee gardan kharee kar sakta hai hum na har kism kee koshish kee america tak check kiya par mera beta ka elja sirf Allah he ke marzee say ha duniya ma aus ka koye ejaj nai. Hamray ghar ma aur b meray bhaiyon behnooh k aur mera aik aur beta hai par hum sab ghar wala Allah k hukam say mera es betay ka sab say zayada khayal aur pyar karta hain aur meray tamam behan bhaiyon k bacho ke jaan meary es betay ma hai. Ma aksar khawab dekhta hoon k mera beta tandarust hai aur bhag raha hai aur meri ami aur behan b aksar yeh he khawab dekhtay hain.  Please es ka matlab batayah.