Khwaab ki Ta'beer
Q: Kuch dino se gosht or jaanwar0n ke khwaab a rahy hen, in ka maksad kia hai?
Q: Kuch dino se gosht or jaanwar0n ke khwaab a rahy hen, in ka maksad kia hai?
Q: Mein aik larke ko pasand karti hoon. Meine khawab mei dekha k aik grey colour ki khaal hoti hai aur mei us k uper kari hoti hoon. Muje sai se yad nahi k wo khaal kis janwar ki hoti hai lekin mere kheyal se wo horse ki khaal hoti hai. Phir kia howa muje yad nai. Phir dekha k mei bohat roo rahi hoti hoon aur wo larka mere samne betha hota hai aur muje chup karwa raha hota hai aur muje kehta hai k kuch nai howa phir wo muje pyaar karta hai.
Q: Pichli raat 11th and 12 jan midnight around 1:30 am maine khwaab me dekha ki: maine ek mashoor shaksiyat ko lekar gaya jaha per kuch hindu temple jaisa mahol tha, waha per meri ek cousin (meri khala ki beti) baithi hain aur doosri taraf meri doosri cousins ki betiyan sab ki sab phool ke haar pehan kar baithi hui hai aur kuch kuch maine apni khaala ka chehra bhi dekha jo 80 yrs old hai aur kaafi bemaar hai. Mai bahot pareshan hu is baat ko lekar ki woh muqaam hindu temple jaisa kyu tha aur woh mashoor shaksiyat bhi hindu hi tha. Is Khwab ki wajah se kaafi pareshan ho gaya hu, Please mujhe is khwaab ki tabeer bataiye.
Q: Mera sawal ye hai ke kya ek hi din me teen bhaiyon ki shadi ho sakti hai? Ladki alag alag ghar se hai. Mere walid ise haram mante hain.
Main sabse chota hu bhaiyon me aur main shadi karna chahta hu. Magar ghar wale do bhaiyon ki shadi to ek hi din krne ko taiyar hain but teen shadi haram mante hai. Quran o sunnat se jawb dein taki apne walid ko samjhau ya agr haram ho to main khud sabar karu.
Q: Birthday celeberate karna gunah he ya nahi? Agar gunah he tu hum 12 Rabi ul Awwal ko Hazor Sallallaho Alaikhi Wasallam ki waladat ka jashan manatay hyn yani onka birthday celeberate kartay hyn tu kia ye bhi mana hy?
Q: Meri ammi jaan khwaab mein dekhte hain ke ek paththar hai, wo do taraf se tuuta hua hai, us par ek mard ma'-aluum leta hua hai, baraaye meharbani ta-'beer bataa diijiye.
Q: Me nay khawab me dekha ke me or mere husband sath bethay hyn me pregnant hon or hum dono boht khush hyn. Lekin me soch rahi hon k husband chahtay hyn k me abortion krwalon lekn me esa nahi karongi. phr dekha k ek newborn bacha shayad larka meri taraf dekh raha hy oska face boht innocent tha or phr koi hazor Sallaho Alaihi Wasallam ka zikar bhi krta hy khawab me (real me mein pregnant nahi hon or mere husband ki death ko 3 months hogaye hyn) me apnay husband k liye boht zayada quran parh kr bakhshti hon onko.
Ek or khawab me nay dekha ke mere husband kahin ja rahay hyn or me boht ro Rahi hon ke ap mat jayen. Wo kehtay hyn thoray dino ki baat hy me lekn boht Roti hon tu wo kehtay hyn bus 5 6 months intizaar karo phr me tmko apnay pass Bula longa. Plz mujhay is khawab ki tabeer zaroor bata den
Q: Janab mai kuch dino se aise aise khawab dekh raha hu jo meri samajh me nahi aa raha hai. Jaise kal 04/01/14 ko maine dekha ki mere parosh me ek padosan pe meri niyat kharab hai. uski 1 year ki ek bacchi hai. fir mai dekhta hu wo bacchi kisi baat pe roti hai. fir dekhta hu mai us aurat aur bacchi k sath uske ghar jata hu. Fir mai dekhta hu wo bacchi badi ho jati hai aur us bacchi pe meri niyat kharab ho jati hai. aur aisa lagta hai us bacchi ki v aise niyat hai. 2 isi din dophar johar baad maine khawab me dekha ki mere jamin pe lehsun uga hua hai aur meri fasal dusere k fasal se a66i dikh rahihai. note:- real life me mere parosh me aise koi aurat nahi rahti. aur maine aisa kabhi socha v nahi hai.
Q: Mene kal fajr ke tym khwb mein dekha meri dadi ki halat boht kharb hy wo behad tarap rae hen. Jsy akhri waqt ho tbi mjh ek dulhan nazr ati hy meri cousin kan mein gold k jhumkey aur bari dhuri pehni lal suit mein mein sochti hun kc dulhan hy tikka b nh mla susral ki taraf sy mjh eski tabir bta dien. Wsy mri esi cousin ki shadi 3 mah bd tey hui hy.
Q: Me ne khwab me dehka k Data Ali Hajveri ke mazarat mubark pe silaab aa gaya ha or wo buhat tezi se guzara ha kafi bulnd lehrain utti ha pani or me agey barhne lagta hn lkn muje koi pichay ki tarf kinch leta ha. Mufti saab me aap ke jawaab ka wait kro ga.