Khwaab ki Tabeer
Q: Mera sawaal ye hai meri walida ayk din so rahi thi or kisi ne unke kaan mai aa kar kaha aap jannati hai. Phir dusri baar khwaab mai nazar aya ek buzurg paharo mai se nikle hai bohot kaale or sukre hue baithe hai unko sardi lag rahi hai or unhe meri walida ne kambal ura dia or unhone dua di k aap jannati hai teesri baar meri walida ne khwaab mai dekha unke rishte ke mamu hai jin ka intekaal 6 saal phle ho chuka hai or wo meri walida ko kah rahe hai ke wo boht achi hain or jannati hai or uske baad wo ek lambi si zabaan ko chaatne lag gaye meherbani hogi is khwaab ki taabir bataye?