Urdu Questions

Khwaab ki Tabeer

Q: Mai ne dekha k mere samne 2, 3 nojuwan khare hain. Me apne dil me sochta hon k yeh ahmadiyya/qadiyani hain. Aur Nabi Pak (Sallallahu Alayhi Wasallam) k gustakh hain. Lekin mai onsy lar nahi sakta. Wo theeno nojowan mujh par ghaalib hain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Maire bhai kai shadi kai 3 din baad mery abo nay zuhar Kay namaz Kay baad ek kwhab dekha jis mai maire bari behen dhoull baja rahi hai or gaa rahi hai. Maire abu nai ammoi ko bula kai esai bolai kai dhoul bajana or gana bandh karey or agar es nai band nahi kiya tu mai tumhe talaq (divorce) dai doun ga. 

Khwaab ki Tabeer

Q: Main nay bohot arsay pehlay ek khawab dekha tha jis men hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) mery sab say achay dost thay likin mujhay un ki shakal nahi yaad. Jhan main Quran parnay jati hoon hum wahan gai wahan par bohot rush tha wahan ek admi soo rahy thay wo hazrat Abu bakar sidiq thay galti say hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka pao un Kay sath lag gaya aur woh nend say jag gai unhon nay hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ko kaha key tum nay mujhay nend say jagaya ab men tumhay qatal karon ga (naozo billa) main dekh rahi hoon Kay men bohot roo rahi hoon aur unsay key rahi hoon Kay ap mujhay qatal kar dai likin in ko nahi. Hazrat Abu baker nay mujh say kaha kay men un ko qatal nahi kron ga likin tum meri baat ghor say suno us Kay baad unhon nay mujhay namaz Kay barey main kuch kaha likin mujhay yaad nahi phir unhon nay mujhay ek tree ko dekhnay key liya kaha jis men ek urat ki sakal Nazar aa rahi thi main us say dar gai Phir hazrat abu bakar aur hazrat muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) khan gai mujhay pata nahi aur jis aurat ki shkal men nay tree men dekhi thi woh mery ghar men hai mery ghar me mery bhai ki shadi hai voh aurat mujhay delh rahi thi men nay usay kha tum mujhay kion dekh rai ho please mujhay aesy naa dekho mujhay dar lagta hai us nay kha tumhay mujh say dar kion lagta hai aur haas gai. Yeh mera Kawab hai umeed hai ap es ki tabeer zaroor batayen gai.

Khwaab me green rang ka sanpe

Q: Maine khowab main dakha hai kay green rang ka sanpe (snake) jis nay mary fingar par kaat ous kay bad main ousay main mar dalta houn par mary pass he khara aik admain (man) mary bazou par rasey bandh data hai main sochta houn jab insan (snake) kay kaatny say marnay lagta hai tuo ous kay hathe kay nahoun black ho jatean hai ous kay bad main apna hathe nahoun dakhta houn tuo wo black ho rahan hotan hai aisy lagta hai kay main marna wala houn isy doran main La ilaha illal lah, Muhammad-ur-Rasulullah, kalma parnay lag jata houn. Please mary khowab key tabeer bata dain.