Urdu Questions

Tawassul se dua maangna

Q: Main Rabb sy apni muhabbat k liay dua mangta hun to dua ma Rabb e Ta'ala ko usk Mehboob Madani sallallahu alaihi wasallam ki kasam or waasta deta hun. kbhi mery alfaaz is muqaaam tak ja phnchty hen jab ma Khuda paa ko ye b kehta hu k Rabb e Ta'ala apny Mehboob Madani sallallahu alaihi wasallam sy apni muhabbat k sadky ye dua sun ly or apni muhabbat ko phr sy zahir kar. kbhi aesy alfaz b hoty hen k Rabba tuny apny Mehboob ko Arsh pr b bula lia to ma tery Mehboob Madani sallallahu alaihi wasallam ka ummati hu jis sy tery Mehboob ko muhabbat ha. us Mehboob ki muhabbat k tufail ata kar... mery alfaaz khin kufr ki trf to nhi jaaty? 

Ek bhai doosre bhai ka kiraya ko khana

Q: Mera father and mera father ka bahi dono na ek property bannahi hy, es main mera father kay barra bahi unsa dawa karty hain kay unho na ziyada mhannat ke hy. jab ka dono he bahiyon na es property ko banaya hy mil kar, or ab ya property donno bahiyon ka name hy 50/50. ab es main sa barra bahi kiraya kha raha ha or chotay bahi ko kiraya khana nhi da raha hy. mujha ya malum karna hy ya jaheez hy ya na jaheez. ho sakta hy dono main sa kese ek ke mhannat zayada bhi ho magar ab qanoon main or sharahi tariqa sa dono maliq hain ghar ka.