Urdu Questions

Divorced larki se shaadi karna

Q: Men ak divorce larki ka sahara banna chahta hon larki b achi or shahreef ha... meri mama ki abi kuch days pehly e death hui ha wo kissi galt fehmi ki wajaa se ni chahti thi k us larki ki mjh se shadi ho wo ni chahti thi k men un se bt b karon ab wo is duniya men ni han mera sawal ye ha k agr men us larki se shahdi karta hon ya bt b karta hon to kia meri mama ki rooh ko is takleef ho gi jb k men dil se us larki ko sahara daina chahta hon nikah kr k.

Showhar azal karne se mana karna

Q: Mujhy apny husband k bary me sawal karna hai. Mujhy apny husband se had se ziada mohabbat hai jis ki waja se mai bht baar disheart hoti hun,yahan tak k un k bagher dil na lagna apny meky me bhi bus unk sath rehna har waqt pasand hai, mery husband bhi bht achy hain bht caring bhi hain lekin agar mery husband mjhy tawaja na den kbhi to main bht ziada disheart hojati hun, jesy deen ka taqaza hai aj kal karachi ijtima qareeb hai or mery husband raat late night tak gasht karna chahty hain or asar se wese bhi ghar par nhi hoty mery buchay bhi nhi hain main akeli hoti hun is liye raat me mujh se akela nhi raha jata mujhy bht ziada dar lagta hai mera room bhi chat par hai jis ki waja se main bht darti hun lekin mery husband phir bhi chaly jaty hain unka kehna bhi ghalat nhi k deen ki khatir qurbani deni hogi yeh or aisa nhi hai k main deen k liye qurbani nhi dena chahti main qurbani dena chahti hun lekin yahan main bht majbur hun mjh se rat me nhi raha jata or main chahti hun woh raat k waqt me na jaen mery sath rahen mujhy bht ziada dar lagta hai main is mamly me kia karun? or is k ilawa mery andar sexual desire bht ziada hai jo mery husband us tarah puri nhi kar pa rahy aaj kal jesy main chahti hun jiski waja se main bht depressed hun main unhe kisi waqt chuuna chahun or unhe koi or taqaza hota hai kahin jany ka to woh mana kar dety hain or wesy bhi us tarah puri nahi kar pa rahy jesa main chah rahi hun to main tarap jati hun, woh isi saal 3 mah laganay k liye abhi buchy nahi karna chahty woh kehty hain pehly 3 mah lag jaen us baad karengy warna main 2 saal tak nahi ja sakungi jiski waja se woh azal kar rahy hain lekin mujhy us me satisfaction nhi mil rahi mai chahti hun azal na karen is me mujhy bataen mai kia karun? mai chahti hun meri mohabbat me tehrao ajaye or mai bhi aam bewion ki tarah ho jaun , or main itni ziada be taab na rahun mery andar se sexual desires bhi kum hojaye magar main koshish k bawajud bhi nahi ho pati mujhy koi aisi dua bata den k meri mery husband k liye mohabbat me tehrao ajaye main normally aam bewion ki tarah ho jaun.

Biwi talaaq de sakti?

Q: Mera sawal yeh k agr mene apney husband sey msg pr kahey k agr woh shaadi mai jaegi yah madrasa jaegi tau talak hogi aur husband ka reply "ok" ka aye lekn phr mene msg pr pocha ap ne conditional divorce pr ok ka reply kia hai tau husband ka reply aya k is bt pr ok nhi kaha hai mene ap her jagah ja sakti ho. Mujhe ajeeb khayalat aty hain tau mai her bt pr apney husband se pochti rehti bhn k agr mene kuch kia tau kia ap se alug ho jaongi woh her dafa mujhe samjhty hain k isi koi bt nhi hai. Mujhe iska shari hukum bta dein

Meeraath

Q: Ek ghr meray nana k nam ha abi tak or unki death k bad abi tak takseem nahi hua. Nana k 3 betay aur 4 betiyan thien. Jin me sy ek beta or beti fot ho gi ha. Betay ki koi olad nh thi, aur beti ki 3 betain or 2 betay hain. To jis beti ki death hogi ha usy nana k ghr sy hisa milay ga ya nahi? aur agar milay ga to uski agy sy kia takseem hogi?

Meeraath

Q: Warasat ka poochna ha property ha to orat ka kitna hissa hoga misal day or btayen or aik sawal jo makan k hissay taqseem hony hain us pr gas or bijli k bill thy wo ada kr k us k bad hissa lagaya jaraha ha to kia ye sahi baat ha?