Urdu Questions

Qasam khaana

Q: Maine kasam khayi thi or apni wife ko bola tha agar aaj nhi aayi apne ghar se to main ghar se chala jaunga baad me aane par maine din ya gante nhi socha ki main kitne din ke liye jaunga ya kitne gante ke liye to mera sawal ye hai meri wife ke aane ke baad main kuch ganto ya 1 din ke liye ghar se chala jaunga to meri kasam puri hogi.

Biwi ko mukhaatab karke talaaq dena

Q: My question is about talak. Meri cousin nay ghar walon sy chup k nikah kia in court. Or you can say k court marriage ki. In k nikkah ko 4 sal ho gay han or abi tak ye bat raz hi ha. Ab wo banda meri cousin ko tang krta ha and she doesn't want to be in contact with him and wants separation but wo banda nai man raha ha. Hum khula ka case nai kar saktay q k its a secret. Aik video mai aik mulana ny btya k tum mutalikka ho bolnay sy b talak ho jati ha. Us larki ny apny husband sy ye words lyrics ki surat mai bulway han i mean k usko bola ye song ha tum sing kro. Us larkay ny isko 3 bar asay sing kr k bola. Ab ap mj ye btahein k is trhan talak ho jati ha k nai?

Showhar biwi ku mana karna apne hisse lene se

Q: Mere walid apni jaydaad me mera hissa dena chahte hain. lekin mere shohar mujhe lene se mana karte hain. kyun ki dono me thoda an ban hai. main lena chahti hoon kyun ki mere shohar ke sar par bahut qarz hai aur hamare pass apna bilkul kuch bhi nahi aur bachchi bi baligh hai main kludge keep liye kuch nahi chahti shohar ke pareshaniyan baantna chahti hoon. kya agar maine mera hissa liya to gunehgar ho jaaongi? ya qarz ke rehte Allah na kare mere shohar ku kuch bi hua to wo gunehgar honge?

Sachche dil se tawbah karna

Q: Maray aik dost na aik lrki k sath kiss ke ha ab maray dost ko bht dar lgta ha k Allah pak usy maff ni karay ga ab wo keya karay kaffara ha is cheez ka ya ni or wo lrki sa apni ghalati ke mafi mangta ha tow wo bolti ha ma maff ni karu ge plz is ka koi solution batay

Har qasam torne ka kaffarah

Q: Main bohut ziada pareshan hun.. Mene takreeban 2 saal pehle Gunah se tobah ki Zina se tobah aur Allah ki qasam khae thi k ainda aesa nae karunga... Magr mjhe shetan ne bohut behkaya ghalat rastey per lagaya aur mjhse wo qasam toot gae.. Ab masla yeh hai k mjhse wo qasam bohut baar tooti magar mene kaffara ada nae kiya... Ab mjhe bohut sharmindgi hai bohut ziada pareshan hun.. Dil se Allah se tobah ki hai aur ab main kaffara ada karna chahta hun.. Mjhe kaffare ka pata hai k kia kia karna hai lekin mera sawal ye k mjhse aik ki kasam tooti hai br br aur kaffara ada nae kia hwa tou kia main baar baar ada karun kaffara ya aik br ada karun q k mjhse kasam tooti aur main gunah kerta gaya aur kaffara ada nae kia.. kaffara dena ka baad main pata chala ab mjhe bohut ehsaas hai..please meri madad kijiye.. Allah apko iska ajer den.. Main bohut sharminda hun suche dil se.. Main kaffara ada krna chahta hun.. Mjhe nae maloom k kitni baar gunah hwa mjhse Ab kaffara Alag alag ada krna hai ya aik hi baar ada karun..