Urdu Questions

Awlaad ke darmiyaan hadya dene me baraabari karna

Q: Kia parents apni marzi se apni jayedad jitni chahen kisi aulad yani beton k naam karden? Kia parents jayedad se aulad ko aaq kar sakten hn? Kia parents ki jayedad zewar chizon waghera pa betion se zayada betay k hawalay se bahu ka haq hota h? Log betion k naam jayedad is liye nahi lagatay k ghero ko jani h or betonko zayada detay hn k apnay pas hi rehni h hala k wo bhi to bahu k hisay ma hi ana hota h wo bhi to gher hoti h is tarhan bahun ko betion ki nisbat zayda milta h or isi ghar ki jo betian hoti hn un ko nahi milta parents k bnaye huay maakan ma to bahu malkin ban k rehti hn jab k beti mahamn ban k aksar aesa ho ta h k beti ko susral se bhi kuch nahi milta or parents se bhi is tarhan beti ka koi ghar nahi hota beton ko to ghar or dukan waghera hisay ma miltay hn or beti ko jahez da k bs hisa shumar kar lia jata h halan k sari zindagi betian khidmat karti hn akhir ma sab beton or bahu ko mil jata h kia ye sahi h? Asal apnay baray ma pochna chati hun pta nahi ma sahi sochti hun k nahiham 6 sister or 4 brother hn meray maa baap ne bari mahnat apnay dil o jan or khahishat ko mar k sari zindagi hame bohat acha pala h hamary liye itna bnaya h k un k janay k bad ham aesh ki zidagi guzari rahay abu ne kuch makaan or fectary or dukan wghera banai ji se kiraya ata h or aik un married bhia kamata h ab wo sarizimadari uthaye huay h hn betion ki shadi bhi bohata achay se ki h acha jzhez diya h shadi k bad bhi wo aksae ati rehti hn un pa or uk bacho or husband ki bohat khidamt or kharch kartay hn aik behan shadi k bad bui idar hi rehti h us ka sara taqreban sara kharch uthaya h kapron wghera k ilawa kiu k us ka husband use kharch poora nahi deta or ab aik bhai ki shadi ki h wo bhi nahi kamata lakin us ka or us ki biwi bachi ka sara kharch uthay h kabhi kabhi ami kehti hn k jo shadishuda beti ghar ma reh rahi h use apna kharcha uthana chahiy k ab hara farz nahi to ma kehti hun k married bhai ka bhi to kharch uthaya h wo bhi hamari zimadari nahi h us ka farz h apni biwi bachi ka kharch uthaye to married beti ka kiu nahi uthana us ka bhi ap ki kami hui jayedad pa haq h jesay married bhai ka h ami kehti hn nahi bahu hamari zimadri h or beti un ki to muja acha nahi lagta k ye k bat hui waliden ki itni jayedad pa bahu to aesh kary or beti ka koi haq nahi ma manti hun parents ne bohat zayada ki h beti ka jahez bhi deia h shadi k bad bhi bohat kia h magar sari zidagi bet ne khidamt ki h bahu ne to nahi beti ko susral waly bhi kuch na de or parents se bhi na milay kia ye soch sahi h ? Meray parents ne sari zidagi mahnat se or kanjoosion se zidagi guzari or itna sab bnaya hamray maa baap ne or ham behn bhaio ne tarikay se kharch kia behno ki to shadi ho gai jo hn wo bhi soch k karaty hn or jo bahu ai h usne ne dil khol k aesh ki phir mera dil jalta raha or hamara makan girnay wala h ham sari zidagi naye ghar ka itizar kartay rahay ab jab banny laga h to abu hi is dunai ma nahi h amu ku ymar bhi kaafi ho gai h behno ki to shadi ho gai h bs ma aik hun meri bhi Allh karay ho jaye to ma sochti hun ab ye neya makan to bahun k hisay ma ana h unho ka haq hona h hamar to koi haq nahi ho ga jab k ye hamray parents ki mahnat ki kamai ka h or hamara hi haq nahi ho or udhr susral waly bhi koi haq nahi detay ye sab dekh k mera bohat dil jalta h laki ma kia karu ma khud ko smjhati hun aesa na sochun ap hi btaye ma kesy khud ko smjhaon?Allah ap ko jazzaye Khair Ata farmaye.

Allah dekh raha he se kya muraad?

Q: Ager beti sa baat kertay howay khnay lago k (Allah daikhay ga or forun keh doon k Allah daikh raha ha) tu kaya dunu sentences teek hain (Allah daikhay ga khnay sa ager ya khayal ayya k (Allah tu bila shuba sab daikh raha ha k future ki baat Allah ky liya keh diya jb k Allah tu sab janta ha or daikhta ha or phir jhatak ker k (Allah daikh raha ha) ya soch kesi ha?

Khare hokar peena

Q:

1. Aqamat-e-Salaah kis ko perhni chahiyy? Kis ka haq ziyada he. Moaazan ya kisi aur namazi ka?

2. Kharay ho kar paani peena kaisa hy aur khuch loog kehty hy koi farq nahin perta Huzur (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne kharay ho kar bhi paani piya he.

Sachcha taubah karna

Q: Me ne do saal aik aisi aurat se zina kya jis ka peesha hi zina krna tha. Phr us ne mujhe nikah krne ka kehna shoro kr dya jo mere lye bht mushqil tha kyn k wo mere se 8 saal bari aur aik ghareeb se khandan ma rehti thi. Me chahta tw apni zindagi sakoon se guzar sakta tha likin mujhe apne gunnah pe bht afsoos tha r phr me ne apne ap ko saza dene k lye ghr walo se chup k nikah kr lya. Mera sawal ye h k kya Allah mere gunnah maaf kr de ga?

Mazaaq me kufriya kalimah bowlna

Q: Ayk saal pahla hamari claas main ya wakia paish aya ka ek larka utha aur sa na mazaak sa aesa jumla bola ka jo muje kufriya laga liakin un dinu claas main shayad drama ki practise bhi chal rahi thi shayad us silsila main na bola ho aur main na forum astagfirullah mun main kah dia aas paas muje jaha tk lagta h claas main kafi shoorr tha kch log bhr ja raha tha kch bate lga hoe tha us ka wo jumla main na sun kar astagfirrullah kaha q ka muje aesa lga ka kufr h ya jumla muje shak h ka Christians sa mutaliq tha mazALLA MAZALLAH jo Christians bolta hn kufriya shirkiya jumla jo bhi wo mazALLAh 3 khudao sa mutalik bolta hn ab muje shak h us na English main bola tha aur ek lafz holy spirits ka bhi bola tha ab is bunyaad par kya hukm laga ga us par pta nahi us na toba bhi ki h ka nahi ek saaal pahla ka waqiya h ya ab main us ko kya samjho koi agr kufr dilchaspi sa sune ga bole ga parhe ka to wo daira islam sa obviously kharij ho jae ga ab btae main kya smajho aur kaise is situation ko handle karo pat to us ko bhi h ka Allah ahad h wahdaho lashrik h plz situation ko dakh kar tafsseeli bta dain mere umpr koi wabaal is silsilaa main ho ga nahi ALLAH KI PANAH.

Anal sex

Q: Manai apni wife kai sath uskai dabar mai (peechay) dakhol kar diya hay bas ek dafa. magar uskai baad sai mujhai bohut sharmindagi ho rai hay. mai bohut preshan ho kai manai ye kiya kar dia...bs us wqt mujh pr shetan havi ho gaya aur mai ye sb kar gaya. meri biwi bhi is baray mai kuch ni janty thy kai ye sb theek hay ya nahi isliye usnai bhi mujhai nahi roka..mai khud bas itna janta tha kai peechay dakhol karna ni chaye theek ni hota...meri biwi pregnant bhi hay 7 month ki.....jab manai parha kai hadees mai ye haram hay to mujhai bht tension ho gaye...plz ap btaye mai ab kiya kro ....manai toba ki hay kai ainda kabhi aisa kuch ni kro ga ..plz meri madad aur rehnumai farmai....shukria