Urdu Questions

Gaai me paanch hissa karna

Q: Aqeeqah k main kitnay hissay keye ja saktay hain? Mene ek gaen (cow) main 2 larkon or 1 larki ka aqeeqah karna hay. Logon se suna hay gaen (cow) main 7 hissay krain 5 aap k bachon kay 1 hissa ghareebon ka 1 hissa Allah naam ka aisy 7 hissay hongay. Kya ye saheeh hay? 

Ma ki izzat karna

Q: Meri ammi jaan 44 saal ki hain aur walid 52 saal k. Unki shaadi ko bees saal ho chuke hain. Pichly hi hafty mere walid ny meri ammi per tuhmat lagai aur walid ka shakk humne door bhi kia. Meri ammi aik working lady hain. Wo hum teen behn bhaiyon k liye kamaati hain aur equally ghr ka khrcha chlati hain. Pichly hafty mere walid ne baniyat 2 talaaqein dien. Mere 2 chacha humary ghar aye aur meri ammi ki buhat be izzati ki aur humein raat k 2 bjey ghar se nikal jaany ki dhamki bhi di. Meri ammi ne buhat dukh dekhy hain aur hum unky bachyy isky gwaah hain k meri ammi aik pakeeza aur naik khatoon hain. Mere abbu abb keh rahy hain k wo humari maan ko talaaq de k ghr se nikaal dein gyy lekin hum apni ammi k saath hi rehna chahty hain toh iss maamlay main islami taalemat kya hain?

Hurmat-e-musaaharah ka shubah

Q: Agr aik larka bike me aik maa or aik beti ko bike pr ly ja rha ho or larki ky pakar kr bethny ki wjah sy lazzat mily or usi doran us ki maa ny bhi pakara hwa ho lekin na hi un sy koi lazzat ka irada ho or na hi lazzat mil rhi ho to kya esi sorat me us larki sy shadi ho jaye gi?

Jaadu

Q: Kala jadu hota hai kya or agar hota hai toh usse nikalne ka or bachne ka tarika bataiye.

Waswasa

Q:

1. Mera bata muj da mizaq ker raha tha kehnay laga mama Allah Ta'ala na dunya (world) mein aik shukhs pagul pagul (abnormal) pada kia ha owr wo kon ha? mein na mizaq mein apnay batay ka nam jo ka Samiullah ha keh dea sami owr 2 ya 3 second ka bad ullah keh dea ab Shaitan waswasa dalta ha tum na nauzubillah Allah ka bary mein asa kaha ha mujay btain es sa mujay gunah to nahi houa owr mery iman owr nikah per to aser nahi houa?

2. Apnay shoher sa bat kertay houy tunz sa ya keh dea hum to bary momun hain hum kisi ko kia keh suktay hein. pleez mujay in fikroun ka bary mein btain ka in sa mery iman owr nikh per to aser nahi ho ga