Urdu Questions

Khwaab

Q: Maine kuch arse pehle khud ko bathroom mai namaz parhta dekha and sajde k wakt qibla change hotay dekha hai. mai bht pareshan hn

Khwaab

Q: Mai nai khwab mai dekha kai tez baarish horhi hai aur mai khirki sai bahir ek jahaz ko urta hua dekh rhi hoon aur achanak woh bhaut zor sai gir gaya kai zameeb hil gayi. lekin mai aur meri family hifazat sai apny ghr par gai.plz mujhy jld sai jld bataye iski tabeer.

Khwaab

س: ميں نے اپنی والدہ کو زخمی حالت ميں ديکها میرے ماموں نے خواب ميں ان کو زخمی کيا۔ براۓ مہربانی تعبيربتا ديں

Khwaab

Q: Mainay apsay guzashta roz pehlay khuwab ka zikar Kia Tha k ik larki jisay shadi karna chahta Tha or usay khuwab mein bat hui. Aj phir wo khuwab mein ai humlog ghoom phir rahay h achay mahool mein bat horahi h. Halanky mein tauba karchuka ho. Mein pareshan ho taqreeban Roz aisay khuwab arahy hai. Ik or khuwab dekha hai jismai ik nihayat lamba chaura shaks safeed chamktay huay libas ma ata h or ma usay Salam karta ho galay milta ho or wo Mera hath pakarta h or hum dono ik Mahal k andar dakhil hotay h jiskay Bahar bht bara sarsabz baad h kafi bara lawn hai or bht sarsabz usky andar bht bara Mahal h or Mahal k andar Sy log mjhy dekhrahy h. Or jaisay hi wo shaks Mera hath pakar k chalnay lagta h to mein ik bharipan mahsoos karta ho jaisy koi taqat andar ghus gai hai.

Rukhsati se pehle talaaq dena

Q: Me ny apni wife ko aik talak di ha rhuksati sy pahly. But main question ye ha k me nikah waly din us sth batha usko ring pahnaie after nikah sub k samny aur pher 3 month tk wife k sth video chatting krta raha ho. But hum ny mubhashrat nae ki just video per dakha ha. ye bt uski family aur meri family ko patha ti. To kia iss condition me ruju me ker skta ho yia nae...

Khwaab

Q: Meri cousin nay aik khwab m dekha k sufaid color ka bakra numa janwar hay jis ka aik seeng hay us ko log paisay day lay us ki numaish kar rahay hain yani logon ko dekha rahay hain woh bhi dekh kar aati hay Jab ghar phunchti hay tu woh janwar us kay peechay ghar aajata hay us janwar ko meri cousin kay sath muhabat ho jati hay woh US Kay sath lipat kay rota hay magar meri cousin us ko malikon kay hawalay kardeti hay Ab woh pareshan hay mufti is ka MATLAB bata dain thnx

Khwaab

Q: Meny khwab dekha hy k mai apni family k sath bht shandar jahaz may safar kr raha hun...sara safar bht acha or aram say guzarta hy...jahaz ki landing b bht aram say hoti hy ...lakin ak dam jahaz k agy kuch log aa jaty hn...pilot un ko bachany k chakr may jahaz ak side pr karta hy to jazah ak dewar pr takra jata hy jisay jahaz ka right wing tabah ho jata hy...or phir jahaz kahin kharab jaga pr jaa kr mushkil say rukta hy kisi ko itna khas chotin ni atin...baad may jahaz say hum sb utrty hn mai dekhta hun meri choti behn k nak ya muh say thora c bleeding ho rahi hoti...hum kuch agy chalty hn to mai apny phupha g say milta hun jo mujh say salam lety hn or mera hath chumty hn phir meri ankh khul jati hy...apko bata chalu meri mery phupha ki beti say nisbat ho chuki hy... tu kindly is ki tabeer bata dn...shukriya...

Khwaab

Q: Mere walid marhoom nahi hnm, alhumdulillah. Mene khwab ma marhoom dekha ha or dekha k is ka sb se ziada dukh mjhe hota ha is ki tabeer bata den mene ye khwab 2 se 3 dafa dekha ha

Khwaab

Q: Mery czn hn uno ny khab dekha hy un k hathu se koi qatal ho gya hy r wo bht khuf zada hn jasy hm family k logu ko he bacha rhy hn tbi wo uper jaty hn nechy 1 ourat tourch ly k khari hy wo apna muh chupa laty hn phr wo Dr k pas jaty hn wahn wo ourat hti hy wo tb b dar jaty hn k kahin pahchn na lain phr unko lgta hy k uno ny woi kapry pahny huy tbi pahchn lia sochty hn k ghr ja k change krn gay phr unki mother dr ko gold ka sika dati hn phr czn b dr ko pasy r tofia daty hn sony ki k apny bachu ka pait bhar dana wo bhuky hn asal mn wo dr se b dary huy hoty hn kindly is ki tabeer bta dain apki mahrbani ho gi.