Q: Humse ek gunaah ho gaya hai, humne apne board exam ke acche result ke liye 1 lac shukrana namaz , 1000 roze, 100 Martaba quraan ki tilawat etc Mani thi. Kyuki humara result toh bahut kharab aaya tha or maani hui chezo ki mikdaar inni badi thi toh humne chor diya. Aaj iss baat ko teen saal ho gaye hai or humare padhaye ke halat itne kharab ho gaye hai jiska tasavur bhi nhi kiya ja Sakta. Kyu ki mein medical ki preparation kar rhi hu toh inko pura kar pana abhi humara liye mumkin nhi hai, Hume aisa mehsoos hone laga hai mano Allah ka gazab nazil ho gaya ho hum par.... Please sir humari madad kigeye please....