Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Meray sab say chotay bhai nay khwab main dekha hai ki hum sab ghar main hain aur main jo kay us ki bari behen hoon nahatay hoa ghusal khanay main gir gai hoon aur yay sab hamaray baray bhai( jo hum say alag ho kar hamaray ghar main reh rahay hain aur bahut pareshan kar rakha hai)nay bataya hai. Aur chotu behen say kaha hai ki wo bathroom say usay nikalay.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe khwaab kay baray main pochna hai k meri bv bht time se aese khuwab dekh rar hai jis main, mai us se kafi door hgaya ho. Or koi hai jo us k peeche laga hota hai us ko pakrne k liye is trha k khuwab wo bohat dafa dekh chuki hai. Please is ki tabeer bata de ya koi wazeefa jo neri biwi ko is tarha k khuwab na aae bht shukriya.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khwab main dekha keh meri beti ki kameez per kala nishan hai aur main khwaab main yeh soch ker pareshan ho rai hon keh is ko kaise wash karun. Aa please bata dein keh is khwab ka kya matlab hai?

Khwaab me tufaan dekhna

Q: Me ne khwaab mn dekha ke aasman se toufan aa rha hai. Jab qareeb pohanchta hai to pehly to mn bhagny ki koshish krta hun phr koi aadmi mana krta hai ke bhagny ka koi faida nhe hai to hum ek dusry k hath mn hath pakr ke khary ho jaty hn or mn aasman ki trf muh kr k kehta hun Ya Allah Khair. Wo toufan samandari toufan ki trha hota hai. Phir jb wo zameen py aata hai to humy bahata nhe hai. Es khwab ki kia tabeer hogi?