Urdu Questions

Court marriage

Q: Maine aapne walidean ke izazat ke bina court married aur nikaah ki thi jab unnhe bataya tu unhune mujhe ghar se bhaga diya main ab apne shohar ke sath rehti ho tu kya hamara nikaah mana nahi jayega kya humlog ko phir se nikaah karna hoga mere walidean ki izazat ke sath aur main shaikh ho aur mere shohar sayyed hai tu kya isse hamara nikaah par kuch asar hoga?

Khwaab ki ta'beer

Q: Khawab ki tabeer bata dain. Mai jab apne room mai enter hua to bht sy machar her tarf bethy huay thay. Aik kapra ly kar bht mehnat sy un macharon ko hataya. machar rom sy bahir ni gay but jasa rommai enter hote waqt her tarf machar the wo mahol khatam hua to skn aya but gusa tha k itne machar kahan sy aye. Phir do makhiyan aik jaga bethi hui nazar ai un ko bhi ura diya. Mehrbani farma ke tabeer btain. Allah aap ko ajar de. Ameen.

Nikaah ke maamle me maa baap ke saat mashwarah karna

Q: Me jis insan se pyar karti hon aur hum donao ne shadi ka faisla bhi karliya hai. Phir hum donao may bahut sare pareshani aarahi hai. Mere khala jo is rishte ke khilaf hai wo rokawate paida karrahe hain. Mera khwab a hai k jab wo larka mujhse milne aarahe hote meri khala wahan aajate, aur unhe dekh kar hum donao nahin milpate, aur wo hamare ghar zabardasti aajate hum koi bhi unhe nai rooksakte. Thodi der baad my wo larka jis se mera rishta hone wala hai aur ghar pe sare loog khana khane baithe the tabhi hamare khala aajate aur wo larka ko gussa aajata wo khane se uthkar mujhe wapaas bula k apne ghar chale jate.

Teen talaaq

Q: Main ne aik masla poochna ha ke mera first cousin saudia main hota ha or us ny phone pr apni bivi ko teen dafa talak di ha so poochna ha ke is taran talak ho jati ha jab ke main nay suna ha ke teen haiz main teen talaqain danay se talaq hoti ha. Please guide me. Mazeed ye ke jab nikha k liyay gawahan ke zroorat hoti ha to talak kaya itni mamooli bat ha k phone pr denay se ho jati ha halan k main nay yay b suna ha k hadees sharif ka mafhoom ha k talak k baad aurat 4 month or 10 din apnay shohar k gher main hi guzaray gi or us iddat k tamam akharajat shohar k zimay hon gay to jb islam main yay gunjaish ha k aurat iddat b shohar k gher main puri kray then yay kaise mumkin ha k dir phone kr k talak ho jay jb k shohar k gher iddat puri krnay k hukam se to saaf zahir ha k hamara deen akhri hud tk koshish krta ha k gher kharab na ho. Please guide me in detail.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine rishte ke silsile me istikhara kiya. Pehle kwaab me maine apne aap ko dosto ke saath khush dekha. Aur usi raat maine Khwaab me maine janaza dekha. Is ka kyaa matlab hey? Suggest karey ke rishta sahi hey ya nahi.

Meelaad

Q: Eid Milaad-ul-Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) par bazaarun men jandey aur lights lagana kesa hy? Kia Ye Fazool Kharchi nahi? Agr Yahi Paisey kisi Ghareeb ko dey diye jaeyen tu?

Meelaad

Q: Mera sawal hai

1- Kya ham jasne Eid Miladunabi mana sakte hain?

2-Kya Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku ilme gaib tha? hawala dekar bataye.

3-Kya ham Kisi Wali ke wasile se madad talab kar sakte hain?

4-Deobandi mazhab ka Aqaid kaisa hai?

5-Kya ap Alahazrat ku mante hain?