Urdu Questions

Chaand par Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha huwa dekhna

Q: Mai ney kal raat khawab dekha, jo mujey kuch yaad hai aur kuch bhool giaya hai. Par itna yaad hai key mai ney dekha key, chaand par Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha huwa hey aur mai usey dekh raha hu. Takreeben aik saal pehley bhi mai ney aisa hi khawab dekha tha key chand par Muhammad likha huwa hai. Meherbani farma kar tabeer bata dai.

Soodi karobaar

Q: Mera aik sawal hai ke me ne karobar ke lye paanch lac rupee liye owr me ne us ko 7 lac wapise karne hai takriban 6 mahine bad me ye pochna cha raha hon que kya ye sood me shamil hai? Please is ki wazahat kar dien.

Tasweer kheenchna

Q: Dekhti hu k apni nanad ki red color passport size photos ussi k pas the wo soyi thi aadhe mude hue taweez ki tarah dekhe or baki sedhe mei usse ki photos ussi pe daalti hu wo bohot khush hoti hai or mei fir or photos dalti hu or khud pe b ussi k photos ek baar daalti hu. Iska kya matlab hai pleeez mujhe bata de.

Jis shart ke upar talaaq muallaq kya gaya, usku bhoolna

Q: Mera sawaal ha ke aaj se chaar saal pahlay ki baat ha ke maray husband my talaq ko (Mashrot) ki thi or mujy sahi sa yaad b nahi aa araha ha but kaha tha k ab iger aisa kiya tu tumhein talaq ha ya Ho gi ma iss sentence mein b sure nahi hon question ya ha k ma buhat negetive insan hon her baat ko zahan per sawar ker Leti hon ab mujy tu na shart yaad ha na ya k kis baat per kaha tha uss waqat jab bola tha tab bi shayad ma na shart ko mind mein rakhnay ki bajaiya ya baat mind mein baitha li k iger husband aisa kahay tu kaya Ho jati ha ma na shayad uss baat per focus nahi kiya k wo shart kaya thi tu kertay Kerty wo maray mind sa mit gayi ha ab kaya pata ma na ker li Ho wo baat ya future mein Ho jaiya ya iger past mein Ho gayi Ho per mujy kyun yaad nahi aa raha k wo akhir baat kaya thi jis per shart lag ayi thi ma buht prashan hon what Islam says

Un lowgo ke pheeche namaaz parhna jo wahaabi lowg ke saat talluq rakte he

Q: Mera sawaal he ke hamaare ilaaqe me wahaabi lowg bhi rehte he aur hamare kuch sunni log inse rishta rakthe he kya ham inki dawat me ja sakte he aur hamaare Musjid ke sadar, secretary aur deegar members he ye log bhi in wahaabi se rishta rakhte he aur unke ghar hamaare musjid ke imaam saheb bhi dawat, faatiha wagahira me aate he. Kya hamaara namaaz inke peechhe hojayega? Iska kya masla he bataye.