Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Sir mai ne abroad jane k lie istikhara kia tha 3 din tak isha ki namaz k bad dua parh k sogai 1st and 2nd day mujhe kuch samajh nhi aya lakin 3rd day mai ne khuab mai dekha k mai apni chat p hun, chat ki dewar p kuch cards lagay hue hain red or white color k, white color wazay ha, mai ne wo cards jama kie phhhir mai ne blue color ka dress pehna hua ha ( meray pas ha ek reshmi blue sout, wahi wala) or meray sir p ek bird aaa k beth jati ha, mai ne sir dupattay se cover kia hua ha. churya meray sir mai phonk rhi ha, mujhe bht a cha lag rha ha meray samnay ek tree ha green color ka mai apna sir tree ki taraf move karti hun k wo churya tree p chali jay, (wo tree asal mai ek chota sa poda ha) mai apna sir taqreeban us poday se lga deti hun mgr churya nahi jati. Phir meri aankh khul gai or mai ne beech mai ami se bat kar li phir jab mai dobara soi to khuab mai dekha k kahin blast hua ha ami or abuko zakham aye hain kia ye akhir wala khuab istakhare mai shamil hooga?

Sunnat ke mutaabiq kaam karna

Q: Mujh taray haftay pehlay khaboon aya kay mah ek jagah pay jate hon wahan boht rash hota wahan pay mah upper khalee hoti hon ek baanda mujh bolta ha joh samnay khara admee ha jis nay bacha utaya hua ha who hazrat ali ra hain mh ek dam say haraan ho jate hon mah usi banday ko dekh rahe hota hon jis ko who hazrat ali batata ha mah bolti hon mujh un ka face nhi dekh raha toh who bolta ha joh bacha utaya ha unhoin nay woh hazrat Hassan yh phir hazrat hussain ha phir awaaz ate ha kay ali da malaag mah tah ali da malaag or jab woh bolta ha yh hazrat Hassan yh hussain han toh phir awaaz ate ha karbala ko kalbala kay sahansha pay naaz ha Muhammad musatfa ko is nawasay pay naaz ha itne dar may mh unhein bolti hon kay hazrat ali toh woh apna moh uder kar letay han mujh dekhaye nhi detay bass face bht white hota ha light ki tarah. Mujh please is ki tabeer bata daein.

Khwaab me Ka'bah Shareef ku dekhna

Q: Maine aik khawab ke tabeer pochne ha. Maine khwaab mein khaana kaaba dekha lekin makkah mein ni kisi owr jaga dekha thore unchai per r maine khud ko dekha k mein kaaba k samne khare ho kr dua kr rhe hun r phr usk baad maine dekha k myn r mere behen namaz parh rhy hn kaaba sharif myn he lkin namaz parhte hue ni dekha bs aisa mehsoos hua jaisy k hum ny namaz parhe ha r phr hum log ghr wapis anee k lea niklty hain rasta siriyon (stairs) wala ha r stairs thore se hain r phr maine apne behen ko siriyon sy nechy dekha lkin mein abhi upar he the r dekha k siriyon k nechay aik black clr ka kutta betha hua ha r mjy nechay ane sy dar lg raha ha tb maine apne nechay khare behen sy kaha k wo kutty ko hatae par us ny bat ni sune mere phr achanak mere ami wahan agaen tou maine un sy kaha tou unho ny us kutty ko apne paon sy pechay kea r phr mere ankh khul gae r ni pta chla k mein siriyon sy utri hon k ni r kutta pechay hatta ha k ni ye ni pta chla (r thk sy ye b ni yaad k kutta bhonkta ha k nahi). Please es khawab ke tabeer bta dyn owr aik bat mere admission ka msla chl raha ha medicl k tou maine istakhara kea tha tb sy aisy khawab aa rhy hain Maine r khawab mein khud ko roty hue b dekha ha r sth janwaron ko b dekha ha lkin wo mjy kuch kehty ni ha. Please mjy btae mere khawbon ke tabeer.

Khwaab ki ta'beer

Q: Muje kyu bar bar mere valid ke abbu khab mai aate hai? Please muje bataye kya karu vo hamesa lagta hai hyat hai or bohot khus nazar aate hai pls muje btaye or aaj bi muje bohot hi dravna khab aaya 3 4din se bohot dar ke uthti hu or aksar mai apne gav india jaha mai borne hiyi hu vha ka kbrsatan dekhti hu or un padosi oko dekhti jo already kuchh kuda ki rah mai chale gaye or kuchh jinda hai. Please muje btaye kya padhu.

Shaadi me pareshaani

Q: Main boot upset hu. Meri life main bohot sary problem hain. Meri shaahdi Hoi ha. Bohot sary femly problem hain. Mere husband muj pe bhot gusa karty hain. Koi baat nhi manty. Har baat ka muje blame karty hain. Main bardast kar kar ke thak gai hu. Bhot saber karti hu main. Please muje koi wazifa bata dy.

Shaadi ke ba'd ghar walo ki taraf se pareshaani

Q: Meri shaadi ko kuch hi mahiney huwe hain. Shaadi k baad se mere gher main bht jhagre or fasaadaat hogain hain. Me apni family ko bht samjhdaar samjhta tha, lekin main feel ker raha hu meri waalidaa or meri bahan (sister) bahut galat ker rahi hain meri wife k saath baat baat main usko nicha dikhaya jata hai. Agar woh kuch kehde ke aap log aisa kiu kerte ho tu kehne main ata hai tum bahas kerti ho zaban chalati ho. Mere abbu ko complain ki jati hai mere abbu bhi humen hi dante hain. Meri wife pregnant hai phir bhi dhair sara kaam is se kerwaya jata hai. Meri bahan baat baat main isko zalil kerti hai. Main apni biwi ko apne paiso se kuch acha dilana chahu tu woh bhi inko bura lagta hai. Humare ane janey pe mera mere susral janey pe bhi inko bura lagta hai. Agar hum koi shikayat keren abbu ko to mummy and sister mun pe jhut boldeti hain la illa ha ilala ho perh ke. Ghar ka mahol bht kharab hogya hai saari din humare piche humari buraiyaan chalri hoti hain ya tu mere abbu ko humki buraiyan kerengi ya maasi ko ya parosan ko. Mera dil kerta hai ma gher chor ker chala jaun rukna ka maksad ye hai main apne maaa baap ka aik beta hu main unko chor ker nahi jana chahta main acha bhala kamata hu Allah paak ka karam se pura gher main chalata hu. Mian nahi chor sakta. Ab mujhe aap koi hal batain mujhe kia kerna chaiye ye hum log k saath kia horaha hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mufti aapse mujhe ye janna chahti hun ke mere ghar do rishte aye the aur Maine ek rishte k lie istekhara kia aur khwab me dekha k dusre rishte Jo aye unke ek relative k leg fracture ho gayee h aur plaster ki hui h aur unhe apne ghar k raste se lekar jate gain lekin boht traffic rehti h aur koi kehta h k thora piche ho jao rasta clear ho jaega aur humari rikshaw piche hoti h aur fir aage chalti h us raste pe jahan se woh pehla rishta aya jiske lie istekhara kie the.

Khwaab ki ta'beer

Q: Asar ke bad me ne dream dehkha ke meri wife kisi waja se naraaz thi to me us ko manahah raha ta tu manaty kisi road ek dum hum dono aha ga tu ma na dehka mera janay wala aha ra road ma hat gaya phr us na muje bolaya aur kha ka payar road pa na kartay phr us na kha muje chalo zara help karo darwza kholana ma wo car ma ta,phr mera sath 4 log aur bi ta janay wala darwaz khulanay ka lia,darwaza bhouth bara ta hum na kisi cheeze sa khula aur woo car ma chala gaya phr hum opposite jab janay lagay jo 4 log ta ma na asman ma dehka ka 3 moon ta aur un ma sa ek red bi ta ma na apnay logo ko kha dehko 3 moon nazar aha ra lakin unho na serious nae laya muje phr doubt howa ka peechay darwaza band nae howa ma jab gaya darwaza ka pas muje awaz aye tu Muhammad S.A.W ki sunnat ki hafizat nae kar sakta ma daar gaya aur ma na kha ma kar sakta hoo app hukam karo tu us na darwazay khuch bandany ko kha aur wo ma na kia wo yaad nae kia ta bandany ko, es feel howa madinah haram ka darwaza ta bas ankh khul gai.