Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine subha hote kareeb 6 ,7 baje khwaab dekha ke aasmaan me bahot saare chaand hai har shapes ke aur tabhi aasman se ek bahot bada sa taj (crown) utarta hai aur dheere dheere niche aata haiaur merw sar pe aake ruk jata hai. Jaise mere liye aaya hai. Bas itna hi dekha. Baraye mehrbaani is khwaab ki tabeer bataye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab dekha ke mai margaye hote hun. Mai doosre aalam mai hote hun. Usi mai mere walida aate hai bolte hai ke maine saare bachun ku shadi karwaya. Mai phir us aalam se baagh gaye apney gar jaate hun. Muje is khwaab ko tabeer jaan ne hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mera sawaal ye hai ke mere behan ne khawb dekha tha. Us ne khawb me farishtay dekhye thay safaid rangh ke. Dou farishtun ke sar pe taaj laga tha. Aik taj pe Allah aur aik or Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) likha tha aur dekhna tha ki mere behan ke haath mai chaar Ruh(soul) thee.. aur wou fatishtey usey lejatay hai.. iski tabeer bataye.. Allah Ta'ala apko n hmko salamat rakhey aur lambi umar De.. Doosra sawaal ye hai k.. Mai sote huna you roz 3 bajay mere aankh khulte hai n koi Kala saaya mere saamne hota hai.. who apni shakaley badalta hai..mjhe bht darata hai.. mjhe kya karna cheye?

Mahar ke baare me jhagra

Q: Mere behan ke nekah mahar 10 tola telai zawarat aor warasat may hasey par hoe jab ke nikaah name aor stamp paper may kuch asa tehrer hoa jes par in k aor gawaho ke sign bhi hai "10 tola telae zawarat aor aik makan may man-moqir ka hesa apny rafiqa-e-hayat ko maher may dia". Ab in may talaq e salesa hoe, ab wo log zewarat ko manty hai par makan may hasy say inkar karty hai aor kahty hai k nekah may nikah khawan nay jo alfaz kahy hai hum wo manty hai, aor warast may hesa nahi raha lehaza ye maher say bhi kharij hoa.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne aaj sham ko khawab mn aik khula maidan daikha jahan thory thory fasly pr teen ghar ha choty choty un mn sy aik ki chut pr darukht ha ar wh is tarah sy ha kh us ki thniya ar paty ghr ky bahir saya kiyay hoy hn yani tpti dhoop mn ghar ky bahiri hisay mn darakh ki thniyon ny saya kiya hoa ha.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me iIndia se bool rahi hun janab aj subha maine khuwab mai dekha ke dange ka mahol hai aur mai kafi dari hoi hun our apne bachcho ko awaj de rahi hun jo mere pas hi hai our mai kisi ghar mai hun jaha do kamre hai per os ghar ki samne ki diwar hi nahi hai our mai darwaja band karna chahti hun per darwaja mere hath mai hai kiyu ke diwar hi nahi hai ent ajo bajo giri hui hai is khab ka manjar kafi ajib tha jo muje dara gaya ap se gujaris hai ke is bare mai muje jawab jald de sukriya.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dream dehka ta ma kisi ka sath jaha ra ta ma na bazurg aurat (females) ka group dehka en ma sa ek peechay koi aurat bhouth ghour sa muje dehk ri ti muje dar laga aur muje esa laga yae shaitan hai ya witch ma na stone mara aur auzubillah minashaitan nirajeem paraha. Aur ma phr chala gaya aur jab meri ankh khuli tu mera dil daar ta. Yae dream ma na raat ko dehka ta lakin sleep sa phelay ma paak nae ta. Kyn ka apne wife ka sath humbastri kar ka sleep kiya ta. Wasiey muje waswasa asal zandgai bi bhouth atay hai.