Dua ke aadaab me se ayk adab
Q: Aik waqat thaa mujay apni duaon par bohaat yakeen thaa and mujhay surity hoti thee k mayri dua zaroor kabool ho gee. Allah pak say aik dua bohat shidaat say mangaati thee main n pora honaay ka yakeen 100% thaa. neyaat b saaf thee but wo dua qabool nahi hoi. os din k baad say muj say koi dua nahi maangi jaati. ye kahnaa ghalaat nahi ho gaa k mayra ap dua say yakeen haat gaya hay or ye soch zehan main agaee hay k jo Allah nay daynaa hay wo he daynaa hay ap kisi or cheez k leya jitnaa marzi koshish kar lain. mjy saab maloom hay k agr es duniya main dua kabool nahi hoti tu os k b chaar pehlu hain i.e akhraat k leya rakh di jaati hay, koi museebaat taal dayti hay etc but phr b mayray dil ko sakoon nahi milta n main zada dua nahi maang sakti pehlay ki tarha dil nahi lagtaa dua main. ajeeeb gunhagaar kisam ki kayfeyaat rahti hay mayray andar n her time feel hotaa hay main Allah Pak ki na pasandida Larki hoon. Plz tell me kia karon.