Janaabat ki haalat me namaaz parhna
Q: Kya jab miya bivi me taalluq hota he to namaz Allah ki ibaadat paaki (gusal) lene ke baad hi karna chahiye?
Q: Kya jab miya bivi me taalluq hota he to namaz Allah ki ibaadat paaki (gusal) lene ke baad hi karna chahiye?
Q: Mere showhar ne muje teen talak ek sath dedi thi to hamne nazdeek ke ek mufti saab se bat ki to unhone bolaki ab halala karna padega. To unhone mera nikah khud mufti sab nehi kiya khudse our muje bolaki ap muje likhjar dedo ki mene apne apko ush sakhs je nika me diya. Mene wesahi kiya fur hamari bich ek bar talaak hua fir unhone muje bolaki mene apko boldiya magar mene apne ka no se saf unhe talak kehte nahi suna our nahi koi nikah ja gaeah tha to ab kya ye halala hua. Agar nahi to please ap muje sahi tarika bataye.
Q: Kya mastooraat namaz-e-jumuah parsakti he?
Q: Agar kisi ke phone mein Quran sharif hai, kya woh us phone ke sath toilet jasakta hai?
Q: Aaj shaam hamare ghar ke chat ke upar owl baitha tha. Is ka kuch matlab hota hai kya?
Q: Mene kuch roz pehle ye khawab dekaa ke mere bare bhai muje khawab me keh rahee hai ke abi chaar roz me tera hujj ka number lgne vala he or tuje buhut jald khushkhabri dee jaegi. Mere pass hujj ke liye money ni he. Lekin mene ek din yani recently Allah ki raah me kuch pese diye ye dua kar ke ya mere Rab me tere raah m ye pese derahi hon or tu mere hujj ko safer ka intezam karde yaani hujj ke liye pese ata karde. Tab oske kuch din baad mene ye khawab deka or khawab me mai ye soch rahi thi. Ye sab Allah ki raah me dene se mera imtezam Allah paak ne kardiya or khwaab m mere bhai muje kehte he ke Allah ki raah m 13 rupi de or mene haqeeqat me dediye he. Barae meherbaani mere khawab ki tabeer batae. Allah aapko khush rakhe.
Q: Me ne khwab ma daikha ka mara walid ne bohot sara moor liay hain or ma or mra cousin un moor ke sath roz khelty hain or unka sath urtay hain. Aik din mera cousin ki kisi ke sth dosti hoti ha or vohi dost aik din hmra ghr akr sara moor ura kar apna sth laa jata ha. Me or mara walid bht preshn hoty haun. Hum us shks or moro ko bht dhunty hain or ma daikhna hu ka ma un moro ki talash ma khen khara hu or wo shks un ma ss adhy sa zyda moro ke sth whn ata or moro ko bhir he rkhta ha or hud andr ata ha or ma ya daikhty he bhir bhgta hu or un ady sa zyda moro ko apna sth la jta hu or aik shks btata ha k bki moor khn hain ma unka sth bki moor lna jta hu or ankh khul jti ha.
Q:
1- Kia ijtihaad har koi kar skta he ya ijtihaad sirf aalim hi kar sakta he?
2- Agar peshaab ke baad qatra aa jaye aur wo shalwaar par lag jaye to ab us me namaaz ho sakti he ya nahi?
3- Agar peshaab ke baad qatra aa jaye aur wo jism ke sath lug jae aur pata na chale ke kidar laga he to kiya hukam he? Ab nahana chahiye ya kia karna ho ga?
4- Agar peshaab ke bareek katra peshaab karte huwe kapron par lag jayen to un ka kiya hukam hey?
5- Mazi paak he ya napaak?
6- Agar banda raat ko apni biwi ke pass sota he to kapre par mazi ke nikalne ka andesha ho to kiya suba un kapron me namaaz ho jae gi?
7- Agar mazi jism ke kisi hisay ke sath lug jati he aur pata nahi chalta ke kidar lugi he to is soorat mein insaan kiya kare, naha le ya kiya kre?
Q: Agar khwaab me koi bike chalaye ya car chalaye jab ke use car chalana nahi ata, to iski tabeer kya hogi?
Q: Main ne aaj khwaab main dekha ke main masjid main juma namaz par ne gaya hu wahan pahle se kise ka janaza rakha ha phir maine dekha ke hum namaze-e-janaza parhane khare hote hain to maira czn sath main ha or wo pora janaza mobile main lagata ha bech mai us ki call ajate ha ami ki phir hum wait krte hain again wo akar phir mobil main lagata ha hum sunte hain pora hone k bad hum us ka janaza uthate hain to bohat halka hota ha maire soch mai ata ha wahe k mashallah itna halka ha lagta ha naik banda ha jab k main us ko nahi janta k ye kon ha jis ka janaza ha phir maine dekha k us k janaze ko uthane pahle log ate hain agay ja kar koye nahi hota sirf maira bhai or do czn hum utha rahy hain or khe rahey hain ke hum he hain bas uthao or le kr chalo itna dekha mujhe samjh nahi araha k kia taber ha please mujhe bata den.