Urdu Questions

Maali pareshaani ke lia wazifa

Q: Mei bohot pareshan hoon. Maali pareshani boht hai. Mei Allahb paak se boht dua bhi maangti hoon aur abhi umrah bhi ada kar ke aayi hoon lekin mujeh aisa mehsoos honey laga hai ke meri dua qabool nahi ho rahi. Dua kis soorat mei qabool nahi hoti? Aur agr aap koi quran ya hadith mei se wazeefa bata den rizq mei kushaadgi ka to boht mehrbani ho gi. Duaon mei yaad rakhiye ga.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne khwaab my dekha ke ma ne Allah ke naam ka locket hasel kar leya hy. Ye kafi time se meri hasrat bhe hy k jub Pakistan loton so Allah k naam ka locket apny leye khredon. Khawab ma locket hasel kar ke ma bhot khush hoa. Kia ye mehaz ik khayal hy or is ki koi tabeer hy?

Salaatul Haajat

Q: Huzaifa (Radiyallahu Anhu) se riwayat he ke jab Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku koi amar paish aata to Aap namaz parhte is ke liye Aap 2 ya 4 rakaat namaz parhte pehli rakaat ma Surah Fatiha ke bad 3 martaba Ayat ul Kursi parhte baki 3 rakaato ma Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas Surah Falaq or Surah Naas ek ek martaba parhte. Mashaikh se saabit he ke humne ye namaz parhi or hamari haajaten poori huwi. Ye hadees me ne kahi parhi he. Aapse poochna chahti hu ye hadees saheeh he? Kya hum namaz e hasjat is tarsh parh sakte he?

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dehka apne phopo ka beta ka dream jo jawani ma death hogai ti. Me kisi sa baat kar raha ta to mera cousin apne ghar sa bhar nikala us ki halat esi ti ka hairs thoray white thay wo meri taraf aha ra ta tu ma na us ko kha jes say ma phelay baat kar raha ta ka Allah na ap dono ko ek new zandgai dae hai ap dono death sa wapis aye ho. Yae mera cousin teen days bi lagay howay asli erada karo deen ma chalana ka. Yae dream raat ka tym dehka lakin yae yaad nae jis sa ma baat kar raha.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dream deha ka 3 chand hai. Aur ek dum un ma sa ek chand green ho kar blinking kar raha. Me jaldi bhaga aur ghar bataya tu unhone kha jo Allah ka wali zikr karta hai tab esa hota.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mei khawab mei aksar qabrastan dekhti hoon ke mei qabristan ke pass se guzar rahi hoon aur dil boht khofzada hota hai. Lekin phir bhi dua aur durood parhti hoon sub qabron ke liye. Ayk do baar qabar se murda bhi bahar dekha hai.