Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dehka apne phopo ka beta ka dream jo jawani ma death hogai ti. Me kisi sa baat kar raha ta to mera cousin apne ghar sa bhar nikala us ki halat esi ti ka hairs thoray white thay wo meri taraf aha ra ta tu ma na us ko kha jes say ma phelay baat kar raha ta ka Allah na ap dono ko ek new zandgai dae hai ap dono death sa wapis aye ho. Yae mera cousin teen days bi lagay howay asli erada karo deen ma chalana ka. Yae dream raat ka tym dehka lakin yae yaad nae jis sa ma baat kar raha.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne dream deha ka 3 chand hai. Aur ek dum un ma sa ek chand green ho kar blinking kar raha. Me jaldi bhaga aur ghar bataya tu unhone kha jo Allah ka wali zikr karta hai tab esa hota.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mei khawab mei aksar qabrastan dekhti hoon ke mei qabristan ke pass se guzar rahi hoon aur dil boht khofzada hota hai. Lekin phir bhi dua aur durood parhti hoon sub qabron ke liye. Ayk do baar qabar se murda bhi bahar dekha hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Taqreeban two weeks phly mene yeh khawab men dekha tha. Tabeer bata den. Mene khawab men dekha ke ek kamra hai jo kaala kaala ca hai poora aor chota bhi hai and unko men mandirr (temple) samajh rae hun. Wahan mujje ek chota sa bacha milta hai boht khoobsurat aor ucka rang bhi boht safaid. Yun lagta hai ke ucki maa ucko wahan bhool gae hai. Men uc bachay ko utha leti hun aor apnay ghar le ati hun aor apni doston ko message karti hun kay ek bacha mujhe mila hai agr kici ka koi rishtedaar hai tou bata dou aor phir ek dost ka msg mujhe ata hai ke meri aunty ka beta hai wo. Men kehti hun abhi raat hogae hai boht tou subha mujce le len wo apna beta. Uc waqt men apnay ghar ke apnay kamray men bachay ke sath bethi hoti hun lekin khayal ata hai ke wo mandirr men ek tandoor hai aor agar men soo gae tou yeh bacha uc tandoor men gir ke jall jaega tou men faisla karti hun aor bachay ki maa ce bhi bolti hun ke men saari raat jaagungi. Taa ke imaanat men khiyanat na hojae mujhce (Baki phr jo hua wo theek ce yaad nai hai). Beech men bachay ki maa ka do dafa fone bhi ata hai aor bacha uc ce baat bhi karta hai.

Fibroids ka problem

Q: Meri problem ye hai ke meri maa ko fibroids ka problem hua hai aur wo kaafi bada hogaya hai. Uska size 10cm tak Ho gaya hai. Doctors ka kehna hai ki hame use jald se jald operate karan a chahiye aur uterus nikaal dena chahiye. Kya aap bata sakte hain ki ye operation karwana sahi hai ya nahi. Kya is operation se unko fayda hoga? Aap please batayen.