Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Meray abu meri shaadi nahi honay de rahay jahan mae aur meri ammi chatay hain. Meray honay walay susar ko khawab aya kae wo aik train kae dabbay jesay kamray mae hain. Wahan meray abu Qur'an paak parh rahay hain aur kapray ke 2 3 ghatrian parri hain. Phir aik ghatri jo in teeno sae barri hae kamray kae roshandaan sae unkae samny aa kae gir jati hae.

Teen talaaq

Q: I'm married since 2006 and have 3 children. In march 2014 my husband said in anger should I give you talaaq? I said no and left the place while going to the other room, my husband said: "tu azad he". After that in April 2014 while in anger he sent me SMS twice writing "talaq deta hon" and again sent it. I asked some mufti he said this is three talaaqs. But Ahle hadith think it is two. We made ruju. Now on 15th of  feb 2015 he said in anger talaaq deta hu. Again talaq deta hon. Kia talaq ho chuki he or there is any gunjaish?

Showhar biwi ku "tumara mera rishta behn bhai jesa ho gaya" kehna

Q: Me Paris men hon or meri aor biwi ki lari ho gei woh apnea meky chil gi men ney us ko fone par kaha ke tum mere ghur chali ja bar bar kaha lekin woh na mani to sir men ney darany ke ley us ko kaha ke agr tum ayk mahiny ke andar mere ghur nahen ge to tumara mera rishta behn bhai jesa ho ga to sir men ney serf darany ke ley kha hey meri koe talaq ki niyat nahen thi to mufti saheb men ney gussy men kaha hey walah meri niyat talaq ki nahen thi us ke fouran bad men. Men ney apny alfaz bhi wapas ley hen aor Yeh bhi kaha hey ke hum done hameshan ke ley meyan biwi hen to mufti saheb as agr woh mere ghur chali jati hey ya pher nahi jati to sir as par nikha par to koe asar nahen pare ga allha junta hey sir men apni bewi sey bahot peyr krta hon aor sab kuch Sach likha hey sir min bahot pareshan hon plz jawab jaldi dena allha hafiz.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me apni waalida ka aik khwab ki tabeer janna chahta hon, khwab ye haik, meri walda kafi arsay sai ye khwab dekh rhi hein ke, wo apne ghar me hein or subha (fajar) ki namaz ke liye bedar hoti hein or wazzu karne ke liye jati hein lekin jab wazzu kar ke aati hien to us waqt suraj taluu ho chukka hota hai, or phir wo preshan ho jati hein ke jab wo bedar hui thien to fajar ki namaz ka waqat baqi tha, lekin wazzu ke bad suraj taluu ho gya. Meharbani farmaye or is khwaab ki darust tabeer bayan kar ke mujhy shukriya ka moqa dein. Allah apko jazaye khair de.

Khud kashi

Q: Me apne lia maut ki dua mangti hu namaz ma. Ab Allah se me thak gae hu sehte sehte mera dil karta he ma suicide karlo. Kya Islam ma kai gunjaish he suicide ki maafi ki agr ma aisa karo to kya Allah mje maaf kar de ga ma thak gae hu apni ammi ki baten sunte sunte ab mujse or bardasht nai hoten. Me agy se une koi jawab nai deti wo pir bhi mje tont karte he. Please mje btaye ga apne lye maut ki Dua mangna namaz ma jaiz he?

Qasam khaana

Q: Kya islam me Allah ki kasam lena ya kisi ko dena sahi he? Quran or Hadis ke hawale se bataye or barahe meharbaani Quran ki surah no or aayat no/ hadees ka naam or hadees no bhi bataye.