Urdu Questions

Mazi nikalna

Q: Mera sawal ye he mujhe mazi ke qatray ate hai kissi larki se baat karlon ya phir koi cheez dekh lon aur jab ghusal karta hun jab bhi ate hai kiya is se ghusal waapis karna parey ga aur kiya mazi nikal jay tou kia ghusal karna parta hai?

Kapra phenkar ghusal karna

Q: Agar paak kapra phen kar ghusal karta hu our jism me paani jaisi napaaki lagi huwi he to gusal karte waqt jism se napaki dhote huwe napaaki milkar jo paani niklegi wo paani kapre par lagne se kapra napaak hoga kya?Jitna jaldi ho sake aap mera jawaab dejiye me aapka jawab ka intezaar me hu.

Shaadi me pareshaani

Q: Meri shadi ko aik sal ho gea ha aur mere hasbnd ne to shadi k aik month baad hi mjhe marna mjhe aur mre maa baap ko gandi galiyan dena shoro kr dia aur abhi tak un main koi tabdeeli nhi aai plzzz mjhe koi esa wazifa bta dain jis se mera ghr tootene se bach jae.

Khwaab ki ta'beer

Q: Me aksar khuwab me daikhti hun ke meri shadi ho ri hai shadi ka mahool ni hota mgr me taiyar hoti hn and second ye ke meri mumani ka intiqal ho gya hai 10 din huwe hain wo sirf mere he khuwab m q aati hai apne bachon k khuwab m ni aati ek bar wo i unhn ne kaha k mje ek bar qabar m dala fr nikal fr dala mje buhat takleef hoe fr m guzarti hn to unko mera paon unke angothe m lgta hai m bht mafi mangti hn to mje kehti hain koe bat ni beta r tu durood shareef q ni parhti plz mje en dono ka jawab de den.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mein bhot time se ek jaisa he khawab dhekri hoon lekin alag alag surat e haal hoti hey mein apne shohar ko phone mila rae hoon lekin mere hath se number nahi mil raha hota ager mil jae phone toh mein unko bula rae hoti hoon or woh mana kar deyte hein anay se. Bhot mahino se ek jaisa khawab dhek dhek ke mujey bhot pareshani honey lagi hey. Please meray khwab ki tabeer batain.

Qadha namaaz waqti namaaz se pehle parhna chahia ya us ke ba'd?

Q:

1. Agar kisi shaks ki asar ki namaz qaza ho gayi, aur jab use waqt mila to us ne dekha ke ab maghrib ka waqt bhi thora reh gaya he agar asar ki qaza pehle parhonga to maghrib ka waqt khatam ho jayega to isi soorat me pehle wo asar ki qaza parhe ya maghrib ki namaaz parhe?

2. Agar ayk namaaz qaza ho gayi aur ab doosri ka waqt ho to pehle wo namaaz parheinge jis ka waqt ho ga ya pehle wo namaaz parheinge jo qaza ho gayi he?

Napaak kapra phenkar ghusal karna

Q: Me is baat se bohot pareshaan rehta hu key meri lungi, shalwaar par paani jaisi najasat lag kar sook jane ke bad os kapre ko phen kar ghusal karne ke waqt kapre me napaaki nazar nahi athi hai, our aisi halat me to poore kapra dhowna behtar hai, (owr poore kapre ko dhone ke liye kapre ko badan se otharna parega tabhi poore kapre ku dhowna mumkin hoga.) Lakin mey jaha rehta hu waha par ghusal khaana nahi he jiski wajah se me poore kapre ko dho nahi pata hu. Me gusal karne ke bad kapre ko dho kar pak karta hu. Owr islye muje bohot shak hota he ke mera badan paak huwa ke nahi. Ab apse mera sawal yah hai key is tariqe ke napaak kapra phenkar gusal karne se mera badan paak hoga kya?

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine abhi apki site dekhi hai to apna khwaab aap ke saamne rakhna chahti hun. Maine khwaab mein andhera dekha hai aur usi andhere mein ek dress ka kapda adha kala adha golden rung ka dekha hai. Mai janna chhati hun ke iss khawaab ki taaber kia hai qu ke mai kafi dino se pareshan hun meri penssion ki kaarwai abhi tak mukamil nahi huwi jiss se maali pareshani hai.